Chand
Chand kabhi jab aasman me badli me chhup jata hai
Uski maddhim kirano pe hi mera man lalchata hai
Jaun badali paar kabhi ye soch ke man harshata hai
Dekh ke mere sapno ko ye chanda bhi muskata hai
Badli se uth kar chanda jab aasman me aata hai
Kirano ko faila kar apni mujhko pass bulata hai
Chupke se jab chand kabhi ek luka chipi dikhlata hai
Anayas hi mujhko chanda bachpan yaad dilata hai
Jid kar ke wo god me maa ki udham bhi khub machata hai
Aur kabhi jab daant hai khata chupke se chhup jata hai
Maa ke khub manane par hi laut ke ghar wo aata hai
Maa ke aanchal me chanda saare hi sukh paa jata hai
Chand kabhi jab aasman me badli me chhup jata hai.....
Copyright © Deepti Srivastava | Year Posted 2017
Post Comments
Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem.
Please
Login
to post a comment