Humari long distance Shaadi
Ye rishta pyaara pyaara sa,
Mere man ko bhata hai.
Hai yugo purana ye riwaj,
Fir bhi samajh nahi aata hai.
Mil jaye isme kitna bhi,
Par man kuch aur chahata hai,
Tum kehte bhi kuch kam hi ho,
Kuch sun ye Dil kam pata hai
Rehte aapni aapni duniya mein hum,
Kab sath aayenge pata nahi,
Is bandhan me hain badhe hue,
Kab ise nibhayenge pata nahi.
Ek ek din gin gin ke jeete,
Kehte janamo ka nata hai.
Tum aate ho Tum jaate ho,
Humko bahut satate ho,
Main bhagu kitna bhi peeche
Tum door nikalte jate ho.
Socha Roku tumse kehdu,
Ruk jao yahin Tum jao nahin.
Par kaise lelu wo khusi tumhari,
Main itni to swarthi nahin.
Main sochu me hi chal dun phir,
Bas chod ke aapne kaam sabhi.
Par ye na ho ki aage Jake ,
Main tumko dun iljàam sabhi.
Hai muskil par himmat bhi,
Ye rishta deta jata hai.
Main hoon, Tum ho jab sath khade,
To aaye jo bhi aata hai.
Copyright © Sarika Tripathi | Year Posted 2019
Post Comments
Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem.
Please
Login
to post a comment