HAMD
Tu hi hay meri banddagi ka markaz,
Tujhe hi paana hay meri zindagi ka maqsad,
Tu hi hay jo meray kaam dekhta hay,
Aur meri zaat ka Tu hi hay aik sarparast,
Tujhse mohabbat meri fitrat main hay shamil,
Tu hi hay Malik-e-Khaliq-o-barhaq,
Tujhe hi main din raat yaad krta hun,
kyun kay Tu hi hay meri mohabbaton ka maslak,
Tu hi hay khud Nazir-o-Manzoor bhi,
Main Tujhi ko chahta hun har dum har waqt,
Teri mohabbat ne meri zindagi sawaar di hay,
Warna Teray bina to jeena mera mahal hay,
Qurbaan jaye sharqi Tere andaz-e-hukmirani par,
Tu hi hay Rab-e-zuljalal aur Muhafiz-o-Nighban-e-Momin....!
Copyright © zaka khalid | Year Posted 2013
Post Comments
Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem.
Please
Login
to post a comment