Meel ke patthar
Meel ke patthar anokhe
Hain adig thehre hue se
Taakte hain raahen unki
Jo bhi hain guzre hue se
Log manzil tak ki doori ko unhi par dekhte hain
Sochte hain na kabhi ye raahen unki johte hain
Ye adig hain na hilenge
Laut kar shaayad milenge
Rahon me jab hon andhere
Dikhte na hon jab savere
Ye milenge jyoti lekar
Koi na ho sath tere ye chalenge sathi ban kar
Dar lage gar raston ki duriyon se ai pathik
Pas ja kar puch le unse tujhe wo vahin milenge
Meel ke patthar anokhe
Hain adig thehre hue se
Taakte hain raahen unki
Jo bhi hain guzre hue se
-vivek mishra
Copyright © Vivek Mishra | Year Posted 2019
Post Comments
Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem.
Please
Login
to post a comment