1- Behredeedar mushtaq hai har nazar-2,
Dono Alam ke sarkar aa jayiye.
2-Akhri wakt hai aur pichla peher-2
Dono Alam ke sardaar ajayiye.
3- ^Sidratul Muntaha Arsh Babe-e Iram-2, har jagah pad chuka hai nishane qadam,
Ab to ik bar apne, Ghulamo ke ghar-2, dono alam ke sarkar aa jayiye.
4- -Jalwagar Samne paikare noor ho,-2 Munkiro ka bhi Sarkar shak door ho.
Kar ke tabdeel ek din libase bashar,-2 dono alam ke sarkaar aa jayiye.
5- -aaj mehshar me mehbub ki dhoom hai-2, shane izzo karam sabko malum bai.
Yun lutate hue rahmato ke guhar-3
Dono alam ke sarkar aa jayiye.
6- Akhri waqt hai ek bimar ka-3 dil machalne laga shauke didar ka.
Bujh na jaye kahi ye chiraghe sahar-2
Dono alam ke sarkar aa jayiye.
7- Shaame ghurbat hai aur shehre khamosh hai-2 ek Sajid akela kafan posh hai,
Khauf ki hai ghadi waqt hai pur khatar-2 dono alam ke sarkar aa jayiye.
Tumhare baare mein har baat jaanne ka junoon sa tha,
Aaj tumhari bohot aadate meri aadaton ka hissa hai jisme ek sukoon sa hai.
Achha batao na, ab bhi kuch janana baaki hai kya?
Ya phir jo jaana hai, bas itna hi kaafi hai kya?
Suno na, kuch kehna tha... chhodo, rehne do,
Tum to ho hi ziddi, chalo fir bataata hoon ||
Har ek baatein tumhari har pal apnapan sa laati hain,
Jaise pichle janmon ke kuch khaas rishton ki yaadein jagati hain.
Cuteness ka jaadu to hai hi tum me, par pata hai alag kya hai wo hai thodi sanjeedgi ke saath,
Ab agar ye tulna kia jaye to ye aise hai jaise chaand ki alta aur suraj ki baat ||
Apne kaam se jo lagan tum dikhati ho,
Pata hai tum hai na zindagi ko apni tariko aur saleekho ke sath sajati ho.
Chhoti se chhoti baat bhi yaad rakh leti ho,
Achha sach sach batana kya tum use dil ke panne par likhti ho.
Last aur ek bat batata hu jis tarah tumhara andaaz sabse juda hai,
Tumhari baatein bhi khud mein hi khuda hai ||
For your sake, this heart that isn't even close to me, I shall make it yours.
If you come and reside within me, I shall turn that very heart into a temple.
Weaving a swing from your dreams, I shall rock you upon it from dawn to dusk.
But who am I in front of you? For you, I shall lose myself completely.
If the stars refuse to befriend me, I shall steal them from the moon and name them after you.
Even if you wish to walk upon a withered graveyard, I shall bloom into flowers along your path.
And if you wish to sleep but find no cover, I shall spread my body as the softest blanket for you.
Tere khatir yeh dil jo mere hi kareeb nahi, use bhi apna loon
Tu jo aake bas jaye mujhme, ussi dil ko mandir bana loon
Khwabon ke tere jhoola bana kar, sawere shaam tujhe uspe jhula doon
Khair tere saamne main hoon bhi kya, tere khatir main khud ko gawa doon
Taare jo naa dost ho mere, chaand se unhe chura ke tere naam kar doon
Murjhe kabristan pe tu chalna bhi chaahe, toh main tere raaston main phool ban jaun
Tu sona chahe agar aur chadar na mile kahi, mere jism se tujhe narm chadar bichaa jaun
Kisi nazar mein kashish aisi, ke dil thehar jaye
Chahne wale ka har zakhm, khud sanwar jaye
Yeh jo lams hai tera, yeh jadoo ka raaz sa
Dil ki veeran galiyon mein roshni bhar jaye
Teri baaton ka asar dil pe utarta aisa
Har khayal, har dua tujh pe hi thehar jaye
Yeh mohabbat hai ya koi khwab ka dhoka
Jo bhi mile, wohi khwahish ban ke bikhar jaye
Meri har saans mein, tere wujood ka ehsaas
Mere dil ka har dukh, tere qadam par mar jaye
Kisi nazar mein kashish aisi, ke sab bhool jayein
Dil ke har goshe mein tu hi tu thehar jaye
Guzar ta nahi ye shaam-e-gham
Zindagi ke dukhon ka hai peham sitam
Qadam qadam par thakan ka pehra
Himaton ke chiragh bhi ho gaye madhham
Musaafir hoon raahon ka jin ko khabar
Manzilon ka saraab hai, dil ka maatam
Khawab jo bune the, reza reza huye
Haath khaali rahe, na raha koi dum
Sawaal ye hai, aye falak-e-jafa
Kitna aur sehna hai, bata ye sanam
Guzar jaye ye shaam-e-gham kisi tarah
Warna raah mein bikhar jayein hum
U gujarna ab raaste pe badla badla sa lagta hai
Wo najariyan logo ka ab kuch kehta hua rahta hai
Pata nahi kuy ab rishtedar ijjat dene lage hai
Wo dost jo yaad tak nahi krte the aaj haal samachar aur sahuliat puchne lage hai
Wo karibi jo pata nahi kharab waqt me lupt ho gaye the aaj fir karib ho gaye hai
Wo samaaj jo haste the pata nahi ab haskar dusro ki baatein karne lag gaye hai!!
Karwa sach yah hai ki in sabke badlaav ke piche hai wah chij jise log kai nam se pukarte hai
Kabhi wah dhan, to kabhi paisa, to kabhi rupaye, kabhi sampati to kabhi daulat se jante hai
Naya rang aaya zindagi mein jab se maal-o-daulat mili
Har chera muskurata hai, har aankh lage hai mili-juli!!
Par socho zara, jo apno se juda ho gaye the kabhi
Woh kya sach mein apne hain ya sirf banaye hue sabhi
Samay ka chakkar aisa hai, kal jo tha woh kal nahi
Dhan ka mooh kala hai, pyar se badi koi pal nahi!!
Karwa sach to yah v hai janab, bhago aap is ke piche
Par dekhna kahi apne na chut jaye aur kuch atut riste na tut jaye
Rishton ki jamapunji ko hatho se sareaam kar do
Khudgarz duniya ke najar mein apno ko anjaan kar do!!
Lord, give no more than I need,
Just enough my folks to feed,
Nor I need to sleep hungry,
Nor my saintly guests any.
__________________________________
Sanyi itna dijiye, ja mein kutumba samaye,
Main bhi bhukha na rahun, sadhu na bhukha jaye.
Money is necessary, but more of it may not make one happier. In fact, it might become nuisance in many a ways. So, pray for enough money and no more. How much is enough? This aspect is beautifully brought out to fore in this couplet by Kabeer.
???? Aao Ab koi Dost Aisa Banaya jaye
jise Palkon pe Sajaya jaye??
Rahe uska mera rishta kuch is tarha ke?? ,ki
vo rahe Bhukha toh humse Bhi kuch khaya na jaye??…
Character defines personality
A noble character is simple, decent and kind
An awakened character is clear, straightforward and true
The beauty of character lies in the respect of human body
An exalted character uplifts righteous morals
Ups and downs may put a symbolic character on trial
Bad guys and nasty acts are enemies of strong character.
Husney kirdar say norey mujasm ho ja
Iblees bhi tujhay daikh kar sudhar Jaye.
Chhoti si duniya main sapne hazaar
Kitne hazaaron main
kitne baikaar
Ek kadam ho jaye sakar
Ek kadam ho jaye baikaar
Na jane kb honge sbikaar
Kitne baikaaron main kitne hazaar
Chhoti si duniya main sapne hazaar
Kitne baikaar...
Sapne hazaar...
Healing
The healer is a man that walked this earth
The healer is a man that showed us the
way the healer is a man that we may bow
The healer is a man that we know now
The healer touches our body and soul
now we walk upright as we behold
Free from sin now and back then we
we knew him well he'd freed our souls from hell
The is he the man we serve the healer is he
the man that shows us his love as we continue
to worship him as he continue to heal us from above
cc
Patricia Opel Jaye
What use cleaning up a skunk
If your mind murky remains,
A fish forever is dunk
In water, her stink still retains.
____________________________________________________
Kabeer was a medieval saint poet. One of his quatrains is taken here for translation (transliteration as under):
nahaye dhoye kya bhaya, jo mana maila na jaye,
mina sada jalamen rahe, dhoye basa na jaye.
_____________________________________________________
Translations | 09.06.14 |
"Nashe se bhi Nashili hoja
Taki nasha mjse route jaye
Or muje maana nahi"
With love all
jagdish bajantri
Jabeen apni kahin kham ho na jaye
Mizaj-e-husn barham ho na jaye
Bhuja to di meri sham-e-tamanna
Chirag-e-zeest madham ho na jaye
Suna to du tumhe afsaana-e-gam
Tumhari aankh purnam ho na jaye
Na dekho yun mohabbat ki nazar se
Yeh amrit hi mujhe sam ho na jaye
Zamana ke talawwun ko to samjho
Musarrat hi kahin gam ho na jaye
Hai taamer-e-hayat Akhtar isi se
Yeh dard-e-dil kahin kam ho na jaye
Dozakh aur Sharab.........
Tere laboan ka rang mile ga gulaab mein
Teri nigah e naaz ka nasha sharaab mein
Mil jaye gar woh aik baar mujh ko khwaab mein
Rakh doon ga dil ko cheer ke unki janaab mein
Dozakh mein mil rahi he mujhe peene ki saza
aatish bharak rahi he suboo-e-sharaab mein
Behre tashaffi aaen ge Muhammad e Mustafa
Bakshe gunah jayen ge roz e hisaab mein
Dil ki kitaab band na krna kabhi ay dost,
parhna likha hua he jo roshan kitab mein
Moosa ko gadriye ki samajh aaee na jo dua,,.
makhmoor tha woh nikhwat e baar e sawab mein
Du pal ka he suroor jo rakhe Khuda se dooor
shaitan ka he shor o shar sharb o sharab mein
Peeri mein sab ko aati he yaad e khuda hee kion?
he lutf jab ho yaad e khuda bhi shabab mein
by mazHur
Related Poems