Get Your Premium Membership

Dozakh Aur Sharab

Dozakh aur Sharab......... Tere laboan ka rang mile ga gulaab mein Teri nigah e naaz ka nasha sharaab mein Mil jaye gar woh aik baar mujh ko khwaab mein Rakh doon ga dil ko cheer ke unki janaab mein Dozakh mein mil rahi he mujhe peene ki saza aatish bharak rahi he suboo-e-sharaab mein Behre tashaffi aaen ge Muhammad e Mustafa Bakshe gunah jayen ge roz e hisaab mein Dil ki kitaab band na krna kabhi ay dost, parhna likha hua he jo roshan kitab mein Moosa ko gadriye ki samajh aaee na jo dua,,. makhmoor tha woh nikhwat e baar e sawab mein Du pal ka he suroor jo rakhe Khuda se dooor shaitan ka he shor o shar sharb o sharab mein Peeri mein sab ko aati he yaad e khuda hee kion? he lutf jab ho yaad e khuda bhi shabab mein by mazHur

Copyright © | Year Posted 2014




Post Comments

Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem.

Please Login to post a comment

A comment has not been posted for this poem. Encourage a poet by being the first to comment.


Book: Reflection on the Important Things