Iffat o paak damani, ab shaaz shaaz hai
Baatin mera ayyaar, main mashhoor daghaal hoon
Bazaar mein har shay ki qeemat to hai magar
Main har shay se arzaa'n, faqat ek riyal hoon.
Haseeno ko hun hasil, main aurat wabaal hoon
Tum bhi haseen ho? To main tumhara hi maal hoon
Titli hoon, khushnuma phoolon par hai nazar
Tum bhi jo gul-badan ho? main tum ko halaal hoon.
Masoom dikhti hoon, bazahir paarsa bhi hoon
Parday ke peeche burai ki a‘la misaal hoon
Aashiq kare israar to kapray utaar doon
Taqaddus ke naam par, bamsil fitna-e-Dajjal hoon.
Mera har rang hai dhoka, mera har roop pur-fareb
Main baaghi, main sarkash, main zehr-e-qital hoon
Yeh husn, yeh nazakat, yeh kirdar sab fareb
Chadar bhi barhana, main jahannum ki shaal hoon.
Paarsayi ke libaas mein paarsa nahin hoon main
Main faasiqa, main faajira, main Iblees ki chaal hoon
Yeh rasam asr-e-haazir hai, na sharam hai na ghairat hai
Hoon to main paarsa, magar! main ek chhinal hoon
To pass from people’s probing eyes, two cheers,
To pass from all their strident cries, two cheers.
None, merely to kiss the crest of success,
But to stay there and ever wise, two cheers.
___________________________
Epigram | 08.08.2025 | success, test, cheers
Note: Inspired from Kamaal Bhopaali (Urdu):
Nazar nazar mein utarnaa kamaal hai,
Naksa naksa se guzarnaa kamaal hai,
Kaamayaabi par pahuñchnaa kamaal nahiñ,
Kaamayaabi par thaharnaa kamaal hai.
1- Behredeedar mushtaq hai har nazar-2,
Dono Alam ke sarkar aa jayiye.
2-Akhri wakt hai aur pichla peher-2
Dono Alam ke sardaar ajayiye.
3- ^Sidratul Muntaha Arsh Babe-e Iram-2, har jagah pad chuka hai nishane qadam,
Ab to ik bar apne, Ghulamo ke ghar-2, dono alam ke sarkar aa jayiye.
4- -Jalwagar Samne paikare noor ho,-2 Munkiro ka bhi Sarkar shak door ho.
Kar ke tabdeel ek din libase bashar,-2 dono alam ke sarkaar aa jayiye.
5- -aaj mehshar me mehbub ki dhoom hai-2, shane izzo karam sabko malum bai.
Yun lutate hue rahmato ke guhar-3
Dono alam ke sarkar aa jayiye.
6- Akhri waqt hai ek bimar ka-3 dil machalne laga shauke didar ka.
Bujh na jaye kahi ye chiraghe sahar-2
Dono alam ke sarkar aa jayiye.
7- Shaame ghurbat hai aur shehre khamosh hai-2 ek Sajid akela kafan posh hai,
Khauf ki hai ghadi waqt hai pur khatar-2 dono alam ke sarkar aa jayiye.
Manzil kya hai
Unka Nazar aana manzil hai ya
Unke nazaron main kho Jana manzil hai
Unke nazron se nazren milana manzil hai ya
Unki nazariya samajhna manzil hai
What is the destination?
Is merely seeing them the destination,
Or is losing yourself in their gaze the true destination?
Is meeting their eyes the destination,
Or is understanding their perspective the real destination?
Kisi nazar mein kashish aisi, ke dil thehar jaye
Chahne wale ka har zakhm, khud sanwar jaye
Yeh jo lams hai tera, yeh jadoo ka raaz sa
Dil ki veeran galiyon mein roshni bhar jaye
Teri baaton ka asar dil pe utarta aisa
Har khayal, har dua tujh pe hi thehar jaye
Yeh mohabbat hai ya koi khwab ka dhoka
Jo bhi mile, wohi khwahish ban ke bikhar jaye
Meri har saans mein, tere wujood ka ehsaas
Mere dil ka har dukh, tere qadam par mar jaye
Kisi nazar mein kashish aisi, ke sab bhool jayein
Dil ke har goshe mein tu hi tu thehar jaye
Zindagi mein meri bas tu hi tu hai,
Har khwab mein meri bas tu hi tu hai.
Har saans mein jo bas gaya hai khushbu banke,
Us mehka hua jahan mein bas tu hi tu hai.
Mere labon pe tera zikr sada hai,
Mere har qissa-e-gham mein bas tu hi tu hai.
Chaand ke saath jo guftagu karun raaton mein,
Wahan bhi mere lafzon mein bas tu hi tu hai.
Jahan nazar uthaoon, tera chehra dikhta hai,
Har manzar ke rangon mein bas tu hi tu hai.
Zindagi mein meri bas tu hi tu hai,
Har khwab mein meri bas tu hi tu hai.
Tu pass hota ha toh gabrahat si hoti ha ??.
Duur hota ha toh bechanni si hoti ha??.
Nahi hota ha toh fikar si hoti ha ??.
Hota ha toh nazar bas tuj pr hoti ha ??.
Ankhey band kru toh tasveer teri hoti ha??.
Ankhey kholu toh surat teri hoti ha??.
Tuje kya pta meri jaan????
Mahkhane mea pii hui sharab bhi tere naam ki hotii ha ????.
Kuch baat to hai usme, meri dost hai wo jo mere liye khas to hai
Anya ladkio se alag hai wo kuch usme abhinn andaaj to hai
Ek Sukoon hai usme jo apnapan mehsoos kara, ruh me sama jati hai
Pata nahi kyun uski har ek baato me ek sachai nazar aati hai!!
Uski dosti hai mere lie sathi, har musibat mein saath rhta hai
Meri khushiyo ka safar, use bataye bina adhoora sa lagta hai
Dil se juda nahi, par hai ye dosti ka atoot rishta gehra
Har pal uske saath, lagta hai kuch khaas hai yeh mera!!
Kisi apne ne hi kaha hai, ek dayre se niklo, bohot achhe humse v milenge
Par maine koshish nahi ki, kyun ki karib se dekha hai ki jamana bharam hai
Dil ko choo gaya hai, ek sachha rishta mere sath hai
Daayra chota ho gaya hai, jaha ek dosti ka asli parichay har yaado ka mohtaj hai!!
Ye dosti kuch aisa hai, jahaan roj baat ho ya na ho, par ehsaas hai saath ka
Jahaan no thank you, no sorry, bas zarurat parne pe hota hai yeh pyaara wada sa
Nazar na lage kisi ko, bas ek dar hai dil mein kuch purane risto ka
Dua hai ek ki dosti hamesha kayam rahe, har mushkil mein sath ka izhaar ka!!
Usse sabr karke jeena sikha Rahi hai jindagi
Jisse har chiz jidd karke pane ki aadt thi,
Usse un ankho ka intezar karna sikha Rahi hai jindagi
Jis har waqk hazaro palke bichaye baithe kafile ki adat thi,
Usse unki ek Nazar ke liye tarsa rahi hai Zindagi
Jisse har gadhi nazro ke bazaar mei ghumne ki adat thi,
Usse bund bund karke Ishq karna sikha Rahi hai Zindagi
Jisse mohabbat kadmo mei rakhne ki adat thi,
Usse kisi ke liye sadgi mei rehna sikha Rahi hai jindagi
Jisse kabhi sholah shringar ki adat thi,
Usse ek ek pal ki kimat sikha Rahi hai jindagi
Jisse waqt paiso se tolne ki adat thi,
Aur phir log kehte hai ki jindgi sirph imtehan leti hai
Magar Miya koi hamse puche toh bataye
Usse kisi ke liye jeena sikha rahi hai jindagi
Jisse Marne ki chahto se ghire rehne ki adat thi
Tun nay aisa chemical pilwaya
Mujhay chaand soraj nazar aya.
My work is not as factual as yours
You have done extraordinary work to expose men
Kali Shalwar is a pioneer in the field of literature
What a cultural masterpiece of Art & Romance
You have truly unclothed the nakedness of society
Please teach me moral and ethical values
Inspire me encourage me and update my software.
1.Azaad tabiyat umda soch aur sadgi
Tayri narazgi mein bhi rahi Amadgi.
2.Ye tang nazar log kya samjhain gay tayray haath ki likhai
Tun baray achay say Kar kay gaya hai masharay ki dhulai..
Note. Mufti Abdul Qawi often falls into the trap of women.
Tu badal jaega
Jo Mai Oro se se lad Kar tuje apna Bola krti thi ....
Ab tu Kisi or Ka hojaega ...!!
Tham Kar Mera hath Jo Tu chalta tha...
Tera rasta to Mai
Lekin manzil koi or hojaega !!
Mere hasne par Tu Khush ...
Or mere rone par Tu udas hojaya krta tha ....
Frk bas ab itna he rhega Mai roti rhugi
Or Tu Kisi or Ka hojaega !!
Tu us se chahe Kitna he pyar karlena....
Lekin dukh me tuje Mera he chehra nazar aaega!!
Chal koi ni
Tu nhi to Teri Yaadein ....
Wo pyar bhari batein ....Teri tasveere
Ye Sab to mere pass he reh jaega ....!!
Teri bewafaai bhi humare idhar se maaf hai
Hamari nazar mai toh khali ain-shen-qaf hai
Yeh dil toh tere haq mai faislay liya karta hai
Aankh, kan, hath, pair yeh sab tere khilaaf hai
Jabeen apni kahin kham ho na jaye
Mizaj-e-husn barham ho na jaye
Bhuja to di meri sham-e-tamanna
Chirag-e-zeest madham ho na jaye
Suna to du tumhe afsaana-e-gam
Tumhari aankh purnam ho na jaye
Na dekho yun mohabbat ki nazar se
Yeh amrit hi mujhe sam ho na jaye
Zamana ke talawwun ko to samjho
Musarrat hi kahin gam ho na jaye
Hai taamer-e-hayat Akhtar isi se
Yeh dard-e-dil kahin kam ho na jaye
Ghum-e-aarzoo dil se, kabhi to rukhsat hogi
Kabhi to sahar hoga, shab-e-intezaar guzaregi |
Palkon me jiske, simat ti ho ghataein
Saawan pe bhi uska hi, ikhtiyaar hoga |
Kab tak rahe viraan, dil-e-anjuman aakhir
Kabhi to bahar chupke se, is or bhi badhegi ||
Guzarte waqt ke saye, kuch bechainiyan hongi
Betaab dhadkano ko, mera intezaar hoga |
Kab tak khafaa rahegi, wo shokh nazar aakhir
Kabhi to dast-e-dil se, shabaa pyar ki uthegi ||
Is umeed par chale, har sham meri sansein
Kal ke ujale shaayad, milne ki ghadi hogi |
Andhere me ghira main, sochta hoon ye har waqt
Hogi raat ye badi, ya meri umra badi hogi ||
Related Poems