Get Your Premium Membership

Atut Mitra aur anokhi Mitrata

Kuch baat to hai usme, meri dost hai wo jo mere liye khas to hai Anya ladkio se alag hai wo kuch usme abhinn andaaj to hai Ek Sukoon hai usme jo apnapan mehsoos kara, ruh me sama jati hai Pata nahi kyun uski har ek baato me ek sachai nazar aati hai!! Uski dosti hai mere lie sathi, har musibat mein saath rhta hai Meri khushiyo ka safar, use bataye bina adhoora sa lagta hai Dil se juda nahi, par hai ye dosti ka atoot rishta gehra Har pal uske saath, lagta hai kuch khaas hai yeh mera!! Kisi apne ne hi kaha hai, ek dayre se niklo, bohot achhe humse v milenge Par maine koshish nahi ki, kyun ki karib se dekha hai ki jamana bharam hai Dil ko choo gaya hai, ek sachha rishta mere sath hai Daayra chota ho gaya hai, jaha ek dosti ka asli parichay har yaado ka mohtaj hai!! Ye dosti kuch aisa hai, jahaan roj baat ho ya na ho, par ehsaas hai saath ka Jahaan no thank you, no sorry, bas zarurat parne pe hota hai yeh pyaara wada sa Nazar na lage kisi ko, bas ek dar hai dil mein kuch purane risto ka Dua hai ek ki dosti hamesha kayam rahe, har mushkil mein sath ka izhaar ka!!

Copyright © | Year Posted 2024




Post Comments

Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem.

Please Login to post a comment

A comment has not been posted for this poem. Encourage a poet by being the first to comment.


Book: Reflection on the Important Things