Kya keemat hai khushi ki, kabhi socha hai tumne?
Ek muskurahat ke peeche kitni tooti hui ummeedein hoti hain.
Ek pal ki roshni ke liye,
Kayi andheron se guzarna padta hai.
Khushi milti hai...
Magar muft nahi.
Kabhi apni khamoshi bechni padti hai,
Kabhi kisi apne ki yaad mein raat bhar ro kar
Subah ek jhooti hasi pehnni padti hai.
Zindagi ke bazaar mein,
Jahaan har jazba bikta hai,
Wahan khushi bhi ek sauda hai
Jis mein dil ka sukoon reh jaata hai rehnuma ke bagair.
Log kehte hain —
"Khush raho, khud pe fakhr karo!"
Par kaise bataun,
Main har din thoda thoda bikta hoon
Apno ki khushi ke liye...
Aur apni khushi kho deta hoon.
Aankhon mein chamak ho ya dil mein toofan,
Dono ka hissab nahi hota.
Khushi ka hisaab koi nahi rakhta,
Bas dard ginna aasan hota hai.
Toh poochta hoon tumse —
Kya hai khushi ki keemat?
Ek wafadar dost?
Ek sachha pyaar?
Ya sirf ek lamha jahan tum
Apne hone ka matlab mehsoos karo?
Main toh ab bhi talaash mein hoon...
Na kisi dukaan mein mili,
Na kisi dua mein...
Par har aansu ke peeche
Ek chhoti si umeed chhupi rehti hai—
Ke shaayad kal... khushi sasti mil jaaye.
Categories:
dard, life, wisdom, words,
Form: Nazm
Har haal mein hum behaal rahe
Gham-e-jaan se har dam ndhaal rahe
Tumhari chahat ki rahguzar mein
Kabhi khaak, kabhi paimaal rahe
Na khwab bane, na taabeer mili
Bas azaab hi azaab ke hamaal rahe
Dhoop sehte guzargayi sadiyaan
Shab-e-hijr ke hi sawaal rahe
Mohabbat ke saahil bhi door the
Aur dil ke toofaan be-zawaal rahe
Shajar-e-umeed ka saaya na mila
Hum faseel-e-gham ke kamaal rahe
Jo charaagh jalaye the aarzu ke
Wahi aandhiyon mein bemisaal rahe
Rah-e-wafa mein the zakhm beshumaar
Phir bhi hanste rahe, lajawab rahe
Humne socha tha dil ka dard sunayein
Magar lab pe qufl, aur sawaal rahe
Har shaam ne tanhai ka zehar diya
Har raat ke geet bhi malaal rahe
Categories:
dard, life,
Form: Nazm
ye dard-e-be-dawa hai aur main hoon
magar ye dil-kusha hai aur main hoon
museebat aur lambi zindagaani
buzurgon kii dua hai aur main hoon
dayaar-e-ishq mein hoon aur labon par
tera hi tazkira hai aur main hoon
muqaddar ne nigaahen fer li hain
dukhon ka silsila hai aur main hoon
udhar to naam tera chal raha hai
idhar zikr-e-wafa hai aur main hoon
ghazal likhne chala furqat pe apni
radif-o-qaafiya hai aur main hoon
sunaau ehtishaam apni kahaani
yahan bas aaina hai aur main hoon
Categories:
dard, heartbreak, heartbroken, hindi, lonely,
Form: Ghazal
Tumse anjaan toh nahi, par pehchaan itni mukammal bhi nahi.
Tumse har lamha juda hai, par kahani-e-safar itna saral bhi nahi.
Tere lafzon ki khamoshi, kuch raaz chhupati hai.
Main samajhna toh chaahun, par lafz kahan ban paati hai.
Tum jo ho, woh shayad waqt ka ek haseen ishara ho.
Par mera haal-e-dil, ab tak khud se bhi pyaara ho.
Tumse itni waqif bhi nahi ki har raaz khol doon.
Par itna ajnabi bhi nahi jo har jazbaat tol doon.
Kaise kahoon mera haal-e-dil?
Har khwaab mein tera hi manzar mile.
Chaahun bayaan karna, magar lafz kho jaayein.
Tere bina yeh daastaan adhoori reh jaaye.
Tu jo hai, duaon ka asar lagta hai.
Teri har muskaan mein sehar lagta hai.
Khamoshiyon mein bhi teri baatein sunoon.
Tere saath har dard ko hanskar banoon.
Tumse ajnabi nahi, par waqif bhi poori tarah nahi.
Teri har yaad mein kuch adhoora sa basta kahin.
Safar-e-kahani, tujhse hi roshan hai.
Tere bina yeh safar bas ek dhokha sa dhundhla pal hai.
Categories:
dard, feelings, love,
Form: Lyric
Kehte hai khubsurat hoti hai mahobbat
Koi hamse pucho jab yahi dede dard
Us dard ko ham aasu ban bahate hai
Ham tumse orr ishq kar jate hai
Socha khatam kar dege sabkuch
Par fir tumko hi niharte hai
Na dikho tum to pareshan ho jate hai
Tumhare zikra se hi ham khil jate hai
Chahte hai saath tumhara par chah kar bhi kuch kar na pate he
Ham tumse har roz ishq kar jate hai
Categories:
dard, 1st grade, 3rd grade,
Form: Rhyme
Khwaabon mein jo kho gayi woh raat ho tum,
Mere dil mein jo basi, kuchh aisi baat ho tum.
Sajde mein uthe jo yeh haath ho tum,
Har saans mein jo shaamil woh saath ho tum.
Chaandni raato ki woh nazaakat ho tum,
Meri har dhadkan ki jo hifaazat ho tum.
Bheege mausam ki woh pehli fuhaar ho tum,
Mere dard ki woh ek hi dawa ho tum.
Khamoshiyon mein jo goonjti woh sada bhi tum,
Har lafz mein chhupi woh dua ho tum.
Jo sukoon de woh haseen khyaal bhi tum,
Mere alfaazon ki khoobsurat misaal ho tum.
Mere dil ki dhadkan ho tum,
Main tumhaari zindagi hoon, ab yeh sawaal ho tum!!
Kya hoon, Main tumhari Jindagi, batao na!
Yeh ab sawal ho tum!!
Categories:
dard, devotion, feelings, first love,
Form: Ghazal
Takta hoon tum ko, yeh dil behak jata hai
Tumhare jalwe mein jahan tham sa jata hai
Tumhari aankhon ki gehraayi mein doob jata hoon
Tumhari muskaan pe har dard bhool jata hoon
Tum chalti ho to hawa gungunane lagti hai
Tum bolti ho to khamoshi bhi jagti hai
Yeh dil tumhare lamss ki tamanna liye
Har lamha teri qurbat ki dua kiye
Magar tum door ho, yeh faasle kyun hain?
Yeh faaslon mein bhi mohabbat ke geet kyun hain?
Takta hoon tum ko, aur jeeta hoon tum mein
Tumhare khwabon mein, aur haqeeqat ke gum mein
Categories:
dard, addiction,
Form: Ghazal
Duniya ki iss reet se,
Rishton ki iss preet se,
Mooh se, man meet se,
Mein pis chuka hun.
Jhuti muskurahat mein,
Dil ki her chaahat mein,
Dard ki is parwaahat mein,
Mein pis chuka hun.
Mitti se bane wajood mein,
Sapnon ke thake usool mein,
Aansu ki har boond mein,
Mein pis chuka hun.
Guzar gayi jo rahein thi,
Khwabon ki jo baahein thi,
Khoye hue fasane ki raahein thi,
Mein pis chuka hun.
Duniya ke rangon se door hoon,
Apne hi rang mein choor hoon,
Bas khamoshi mein purzor hoon,
Mein pis chuka hun.
Khatam hui umeedon ki baat,
Rishton ka har pyaala saath,
Dil ke har zakhm ki baat,
Mein pis chuka hun.
Mujhe yun hi rehne do ab,
Apni tanhaayi mein jeene do ab,
Is fasane se rukhsat lene do ab,
Kyunki, mein pis chuka hun.
Categories:
dard, anxiety, emotions, life,
Form: Nazm
Mene kal ek jhalak zindagi ko dekha,
Woh meri raha mein gunguna rahi thi...
Dhundha usse idher udher,
Woh aankh micholi kar muskara rahi thi...
Ek aarse k baad aaya mujhe karaar,
Woh sehla k mujhe sula rahi thi...
Hum dono kyu khafa hai ek dusre se ,
Mein usse aur woh mujhe bata rahi thi...
Mene Puch liya "tune mujhe ye Dard kyun diya"
Usne pyaar se kaha
"Zindagi Hoon mein paglae ....mein toh bas Tujhe Jina Sikha rahi thi...!!!
Categories:
dard, 10th grade, 11th grade,
Form: Ghazal
Zindgi ki haqiqat aj kuch is trah nazron ke samne byan hui
Aankhe chhalak gai hum so na sake
Aaj raste me Jo mayusi dekhi kisi muflis ke chehre pe
Qayamt kuch yun Dil pe berpa hui kuch keh na sake
Narm bister pe jb hum sukun se sote h
Na Jane kitne zaeef raston pe tanha rote hai
Kuch alfazo se Inka dard byan na kr Paungi
Per Jo mehsus Kiya aaj smjh ni aya unke liye alfaz kaha se laungi.....
Categories:
dard, 1st grade, cry, deep,
Form: I do not know?
Naam hai
Guda gudi ka na khel hai humara dard hai zaam mera
If I told you what the mean of love just I have a word that lost my gold about to search for the last durga pooja
Is she opens her eyes not for you but for us
If you know what is your name I forgot my name is been so long
My readers fed up with this
Mystery is nothing now that you care about me or I say Indian girls don't have heart
Waqut hai tumhara na aaeye Waqut mera Warana bas naam hoga zaam pey jo khaatm ho Tera naam
Be happy
With love all
Jagdish Bajantri
Categories:
dard, age, angel, anger, remember,
Form: Dramatic Monologue
Meri kismat Mai
Yaado ka silsila uohi chalta
Chala jaey reyt mai bhi talab dikh jaey
sarma lo Abbi kaal ghooghat oot jaey
roshni mai awaz muskura jaey
tumhari chaal par dewaney ghayal Ho jaey
lamha lamha saans saans
Dhakan dhakan mehak jaey
Din mai bhi tare dikh jaey
Sangeet mai bhi sham daal jaey
Jane meri kismat Mai dard bhar jaey
With love all
Jagdish bajantri
Categories:
dard, celebration, for her,
Form: Dramatic Monologue
Akasar
Akasar mai ese khayal
mai duoba rhata hu ki kab
hogi apni mulakat jewaan
ki douba mai payal ki awaz
mai mehndi key rang mai
akasar douba rhta hoon
suney awaz tumhari jesey suni
raat key timtimatey tare ki
rhoshi mai odey chadar tanhai ka..
... Akasar mai rho leyta hoon
leykar dard zudai ka...
With love all
Jagdish bajantri
Categories:
dard, absence, change, crazy, image,
Form: Ghazal
Jhoola tere payar ka
Shant sa toofan ,mastani si leher
yaado ka sama dard ka paygam
Rango mai bani rangoli jeysey
payar ka sawgar,bhehti bahar
jesey phata asaman rhey intazar
andheri shaam
Yadey bana ley abhi
bhujti roshni ka na ho
saweyra kabhi meri yaad ka
Dard mai jhoola tho sahi
Jhoola tere payar ka
with love all
jagdish bajantri
Categories:
dard, eve, fun, girlfriend,
Form: Narrative
Alfaso ke phank se, Gudgodi
Walk of a horse TAK, TAK, TAK
fly with a wings
Dard mite bus tere muskurane se
Alfaso ke phank se , Gudgodi
Smile, never understand the colour
Of black and run with TAK TAK TAK. ..
Sawalo mai phasa rhata hoon
tuje muskurate dehkne ko,
Why I didn't understand one thing
When you have wings then why you run
TAK TAK TAK
One day I'll catch your horse babe.
But I like it's wicked Natak.
Gudgodi huie
good morning
With love all
jagdish bajantri
Categories:
dard, angel,
Form: Dramatic Verse
Related Poems