Dil ki baatein dil tak hi thi,
Ya phir meri baaton mein bhi uska dil tha?
Uske dil mein chhupa hua ek raaz tha,
Jo dil ki jagah naino ne bayan kar diya.
Uski aankhon mein ek kahani thi,
Jismein har lafz meri nishani thi.
Woh khamosh thi, par keh rahi thi bahut,
Uski chup bhi ek zubaani thi.
Uske chehre pe jo halki si jhalak thi,
Woh mere sawaalon ki chhuti kasak thi.
Jaise woh meri dhadkan ko sun rahi ho,
Jaise mere khwaabon ko chun rahi ho.
Meri baaton ka asar tha, ya sirf fizaa,
Uski har ada mein chhupa tha mazaa.
Par uski khamoshi mein chhupa ek darr tha,
Jaise woh khud se hi bekhabar tha.
Ab bhi sochta hoon, woh kya kehna chahti,
Kya uski nigaahein mujhe apna maanti?
Ya yeh sirf mera bharam tha, koi chhalawa,
Jismein main dooba, magar usne bachaya?
Kahani adhuri hai, na jaanoon main khud,
Kya uske dil ka safar tha yeh jud?
Par itna yakeen hai, woh ehsaas saccha tha,
Uski aankhon mein jhalka jo sapna tha.
~Shruti
Categories:
bahut, crush, love, teen,
Form: Nazm
Ishq ab ho nahin payega
Akele rehne mein sukoon sa miltha hain
Móhhabat ki rahon par chalne se
Dil bahut gabratha hain
Fir bhi kyun aaj kal teri bahon mein kho jaane ka mann karta hain
Tere naam se hi ab mera dil dhadak tha hain
Tujhe har dua mein rakh kar hi
Khuda mujhpe meherban hota hain
Categories:
bahut, i love you, longing,
Form: Nazm
NAYI NAYI AANKHE H HAR CHEHRA ACCHA LAGTA H
SARI DUNIYA MAI SAB KUCH ACCHA LAGTA H
HAR JAGAH SO KAR DEHA H
BUS AB APNA GHAR HI ACCHA LAGTA H
PAHLE KUCH DIN ACCHA LAGTA THA YHA
AB SAB KUCH TANHA TANHA LAGTA YHA
HAR JAGAH SO KAR DEKHA H
BUS AB APNA GHAR HI ACCHA LAGTA H
MAA BAHUT YAAD AATI H YHA TU
KISE KAHU, KYA KAHU SAB KUCH BEGANA LAGTA H
HAR JAGAH SO KAR DEKHA H
BUS AB APNA GHAR HI ACCHA LAGTA H.
Categories:
bahut, best friend, brother,
Form: ABC
It’s not always about the person, who does not have the home,
Sometimes it’s about the person who has nowhere to go to.
It doesnot always mean that you have no money
It sometimes means that nobody wants you back
People do still care about you, they show they love you, guide you
But you know the home you left last is not the same now.
It has changed, it has more people/relatives in it
and you will no more get the attention you need
You struggle in this outside world every day in every way
Because you know you don’t want to go to this changed home
It’s no more about the TV or the food or the comfort that home provides
It’s about the call that says- Beta ghar aaja, bahut ho gaya.
And you run towards the home and reach station one hour before
Just because you love waiting for the train back home.
When nobody wants you to come back so you choose not to go back
You know you have become homeless.
Categories:
bahut, absence, feelings, home, lost
Form: Prose
Mujhe rehne do sapno me
Ki jeevan jeene se darr lagta he
Mujhe rehne do sannaton me
Ayurbal ke shor se darr lagta he
Bahut saare padav abhi baaki he
Par path chalne se darr lagta he
Abhi Kayi log milne baaki he
Par pehle walo se darr lagta he
Ve paraye aaj apno se lagte he
Lekin apno ki yaari se darr lagta he
Naye logo ko aaj na jaane Kyu
Dost kehne me darr lagta he
Jeevan ki ekantata tod , Bheed
ka hissa banne se darr lagta he
Bina kisi ka haath Thame Ab to
age badne se bhi darr lagta he
Kuch log mere liye bhi Jeete he
Unka soch marne se darr lagta he
marne ki kabhi sochta hu to
Maa papa ke ansu se darr lagta he
(Parth)
Categories:
bahut, care, fear, hindi, life,
Form: Light Verse
Shayad meri zindagi me andhera bahut tha
Din ke baad raat me ujala bahut tha
Uss ujale se zindagi roshan hui meri
Zindagi ke baad maut me andhera bahut tha
(Parth)
Categories:
bahut, life,
Form: Light Verse
Shab-e-visal kay lamhoon ki wooh muntashir sochain
Meray naseeb ko dasti raheen wooh baykhabar sochain,
Bahut say khawab suhanay nazar main youn tahray
Meray zehan main bhatakti raheen wooh raat bhar sochain,
main jan paya na teray khayaloon kay samundar ko
Meray kareeb hi tehreen theen wooh hamsafer sochain,
Wooh lamhay jo sari duwaoon kay thay raigan guzray
Meray khayalon main machalti raheen wooh muatbar sochain,
yeh jazba kaisa tha jo tujh ko kareeb la na saka
Meri tarha bhi toti theen wooh bay assar sochain.
Categories:
bahut, loneliness,
Form: Ghazal
Man samarpit, tan samarpit
Aur yah jeevan samarpit
Chaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon
Ma tumhara rin bahut hai, mai akinchan
Kintu itna kar raha phir bhi nivedan
Thaal mein laoo saja kar bhaal jab bhi
Kar daya sweekar lena wah samarpan
Gaan arpit, Praan arpit
Raqt ka kan kan samarpit
Chaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon
Maanj do talwaar, lao na deri
Bandh do kas kar kamar par dhaal meri
Bhaal par mal do charan ki dhool thodi
Sheesh par asheesh ki chhaya ghaneri
Swapn arpit, prashn arpit
Aayu ka kshan kshan samarpit
Chaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon
Todta hoon moh ka bandhan, kshama do
Gaon mere, dwar, ghar, aangan kshama do
Aaj seedhe haath mein talwaar de do
Aur bayeen haath mein dhwaj ko thama do
Yah suman lo, yah chaman lo
Need ka tran tran samarpit
Chaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon
Poet of this Poem is Shri Ramavtar Tyagi
Categories:
bahut, poetry,
Form: I do not know?