Man Samarpit, Tan Samarpit
Man samarpit, tan samarpit
Aur yah jeevan samarpit
Chaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon
Ma tumhara rin bahut hai, mai akinchan
Kintu itna kar raha phir bhi nivedan
Thaal mein laoo saja kar bhaal jab bhi
Kar daya sweekar lena wah samarpan
Gaan arpit, Praan arpit
Raqt ka kan kan samarpit
Chaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon
Maanj do talwaar, lao na deri
Bandh do kas kar kamar par dhaal meri
Bhaal par mal do charan ki dhool thodi
Sheesh par asheesh ki chhaya ghaneri
Swapn arpit, prashn arpit
Aayu ka kshan kshan samarpit
Chaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon
Todta hoon moh ka bandhan, kshama do
Gaon mere, dwar, ghar, aangan kshama do
Aaj seedhe haath mein talwaar de do
Aur bayeen haath mein dhwaj ko thama do
Yah suman lo, yah chaman lo
Need ka tran tran samarpit
Chaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon
Poet of this Poem is Shri Ramavtar Tyagi
Copyright © Sandesh Tyagi | Year Posted 2010
Post Comments
Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem. Negative comments will result your account being banned.
Please
Login
to post a comment