Get Your Premium Membership

Naino se Dil tk

Dil ki baatein dil tak hi thi, Ya phir meri baaton mein bhi uska dil tha? Uske dil mein chhupa hua ek raaz tha, Jo dil ki jagah naino ne bayan kar diya. Uski aankhon mein ek kahani thi, Jismein har lafz meri nishani thi. Woh khamosh thi, par keh rahi thi bahut, Uski chup bhi ek zubaani thi. Uske chehre pe jo halki si jhalak thi, Woh mere sawaalon ki chhuti kasak thi. Jaise woh meri dhadkan ko sun rahi ho, Jaise mere khwaabon ko chun rahi ho. Meri baaton ka asar tha, ya sirf fizaa, Uski har ada mein chhupa tha mazaa. Par uski khamoshi mein chhupa ek darr tha, Jaise woh khud se hi bekhabar tha. Ab bhi sochta hoon, woh kya kehna chahti, Kya uski nigaahein mujhe apna maanti? Ya yeh sirf mera bharam tha, koi chhalawa, Jismein main dooba, magar usne bachaya? Kahani adhuri hai, na jaanoon main khud, Kya uske dil ka safar tha yeh jud? Par itna yakeen hai, woh ehsaas saccha tha, Uski aankhon mein jhalka jo sapna tha. ~Shruti

Copyright © | Year Posted 2024




Post Comments

Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem. Negative comments will result your account being banned.

Please Login to post a comment

A comment has not been posted for this poem. Encourage a poet by being the first to comment.


Book: Radiant Verses: A Journey Through Inspiring Poetry