Darr Lagta He
Mujhe rehne do sapno me
Ki jeevan jeene se darr lagta he
Mujhe rehne do sannaton me
Ayurbal ke shor se darr lagta he
Bahut saare padav abhi baaki he
Par path chalne se darr lagta he
Abhi Kayi log milne baaki he
Par pehle walo se darr lagta he
Ve paraye aaj apno se lagte he
Lekin apno ki yaari se darr lagta he
Naye logo ko aaj na jaane Kyu
Dost kehne me darr lagta he
Jeevan ki ekantata tod , Bheed
ka hissa banne se darr lagta he
Bina kisi ka haath Thame Ab to
age badne se bhi darr lagta he
Kuch log mere liye bhi Jeete he
Unka soch marne se darr lagta he
marne ki kabhi sochta hu to
Maa papa ke ansu se darr lagta he
(Parth)
Copyright © Parth Shrivastava | Year Posted 2016
Post Comments
Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem. Negative comments will result your account being banned.
Please
Login
to post a comment