Abbu Naat.
1- Mehke Mehke Nabi ka Dayar Mehke..
Unki Galiyon ke Gardo Ghubar Mehke.
2- Unka Darbar Firdous Se kam nahi.
Unke Gulshan me ayi bahar mehke.
3- Khil uthe phool aqa ki khushbu liye.
Ho gayi Sar zamin lalazaar mehke.
4- kya pasina hai ye mere sarkaar ka.
Har taraf Taiba me sarkaar mehke.
5- Allah Allah dekho Subhan Allah.
Dekho Taiba ke Saare bazaar Mehke.
6- Narm dil khush ada pur Muhabbat khuloos.
Taiba walon ke seeno se pyaar mehke.
7- Unka husno jamal sarwakad khaddo khaul
Mere mehboob hai zar nigar mehke.
8- Raushni Raushni khushbuye khushbuye, unke dam se hai "Sajid" sansaar mehke.
Categories:
unke, allah, hindi, spiritual,
Form: Naat
Manzil kya hai
Unka Nazar aana manzil hai ya
Unke nazaron main kho Jana manzil hai
Unke nazron se nazren milana manzil hai ya
Unki nazariya samajhna manzil hai
What is the destination?
Is merely seeing them the destination,
Or is losing yourself in their gaze the true destination?
Is meeting their eyes the destination,
Or is understanding their perspective the real destination?
Categories:
unke, destiny,
Form: Rhyme
raah-e-amn mein akshar khaaiyaan banaate hain
pyaar karne waalon mein dooriyaan banaate hain
aao ham gale milkar maat den siyaasat ko
jo bhi faasle apne darmiyaan banaate hain
zaalimon bhala kaise tum hamein ujaadoge
ham to vo hain jo dil mein bastiyaan banaate hain
haq bayaan karne se ham kabhi nahin darte
gaur se ye sun len jo bediyaan banaate hain
pur-sukoon hote hain khoo se tar-b-tar karke
hamko qatl kar ke vo surkhiyaan banaate hain
unko ye khabar kar do sach ka paasbaan hai rab
jo charaagh kii khaatir aandhiyaan banaate hain
door rahte dekha hai ilm unke bachchon se
muddaton se walid jo takhtiyan banaate hain
fazl-e-rab se hi unka raasta nahin rukta
doosron kii khaatir jo seedhiyaan banaate hain
Categories:
unke, deep, faith, literature, motivation,
Form: Ghazal
Zindgi ki haqiqat aj kuch is trah nazron ke samne byan hui
Aankhe chhalak gai hum so na sake
Aaj raste me Jo mayusi dekhi kisi muflis ke chehre pe
Qayamt kuch yun Dil pe berpa hui kuch keh na sake
Narm bister pe jb hum sukun se sote h
Na Jane kitne zaeef raston pe tanha rote hai
Kuch alfazo se Inka dard byan na kr Paungi
Per Jo mehsus Kiya aaj smjh ni aya unke liye alfaz kaha se laungi.....
Categories:
unke, 1st grade, cry, deep,
Form: I do not know?