Kuch baat to hai usme, meri dost hai wo jo mere liye khas to hai
Anya ladkio se alag hai wo kuch usme abhinn andaaj to hai
Ek Sukoon hai usme jo apnapan mehsoos kara, ruh me sama jati hai
Pata nahi kyun uski har ek baato me ek sachai nazar aati hai!!
Uski dosti hai mere lie sathi, har musibat mein saath rhta hai
Meri khushiyo ka safar, use bataye bina adhoora sa lagta hai
Dil se juda nahi, par hai ye dosti ka atoot rishta gehra
Har pal uske saath, lagta hai kuch khaas hai yeh mera!!
Kisi apne ne hi kaha hai, ek dayre se niklo, bohot achhe humse v milenge
Par maine koshish nahi ki, kyun ki karib se dekha hai ki jamana bharam hai
Dil ko choo gaya hai, ek sachha rishta mere sath hai
Daayra chota ho gaya hai, jaha ek dosti ka asli parichay har yaado ka mohtaj hai!!
Ye dosti kuch aisa hai, jahaan roj baat ho ya na ho, par ehsaas hai saath ka
Jahaan no thank you, no sorry, bas zarurat parne pe hota hai yeh pyaara wada sa
Nazar na lage kisi ko, bas ek dar hai dil mein kuch purane risto ka
Dua hai ek ki dosti hamesha kayam rahe, har mushkil mein sath ka izhaar ka!!
Categories:
kaha, beautiful, care, child, crush,
Form: Rhyme
Mene kal ek jhalak zindagi ko dekha,
Woh meri raha mein gunguna rahi thi...
Dhundha usse idher udher,
Woh aankh micholi kar muskara rahi thi...
Ek aarse k baad aaya mujhe karaar,
Woh sehla k mujhe sula rahi thi...
Hum dono kyu khafa hai ek dusre se ,
Mein usse aur woh mujhe bata rahi thi...
Mene Puch liya "tune mujhe ye Dard kyun diya"
Usne pyaar se kaha
"Zindagi Hoon mein paglae ....mein toh bas Tujhe Jina Sikha rahi thi...!!!
Categories:
kaha, 10th grade, 11th grade,
Form: Ghazal
Ek waqt tha jab main waqt ki parwah na karti thi,
Aaj ussi waqt ke liye aankhein nam ho gyi,
Kash is waqt me us waqt wali khushi mil jati,
Par har waqt khushi hi mile ye waqt ko kaha Kubool,
Ek waqt tha jab main waqt ki parwah na karti thi.....
Categories:
kaha, hindi, imagination, time,
Form: Free verse
Zindgi ki haqiqat aj kuch is trah nazron ke samne byan hui
Aankhe chhalak gai hum so na sake
Aaj raste me Jo mayusi dekhi kisi muflis ke chehre pe
Qayamt kuch yun Dil pe berpa hui kuch keh na sake
Narm bister pe jb hum sukun se sote h
Na Jane kitne zaeef raston pe tanha rote hai
Kuch alfazo se Inka dard byan na kr Paungi
Per Jo mehsus Kiya aaj smjh ni aya unke liye alfaz kaha se laungi.....
Categories:
kaha, 1st grade, cry, deep,
Form: I do not know?
GHUMA FIRA DHUNDHA BHUT, KUCH HATH AYA NHI
YHI TO KMI THI KAHA MAINE KUCHH BHI NIBHA PAYA NHI
SUNA THA YHA CHAND ME DAG H
PR ROSHNI KE SHIVA KUCHH BHI MAI DEKH PAYA NHI
AUR BHI YE SUNA KOI DUSHMAN YHA H MERA
MAINE DEKHA YHA DUSHMAN SA MAI KOI PAYA NHI
Categories:
kaha, 10th grade, absence, addiction,
Form: Sonnet
Nazron se Tumne jo kaha humne bhi phir suna,
Ye nasha jo charha pehly tu na tha.
Uthayein jo nazarein tum ne dekha bhi phir hum ne,
Nighaon ka ye jo asar hua pehly tu na tha.
Khushbuyein jo mehkin dharkanein bhi phir behkin ,
Ye beqarari ka alam pehly tu na tha.
Saweiron mein lachargi Neendon mein awaargi,
Saza mein bhi maza pehly tu na tha.
Categories:
kaha, cute love, deep, devotion,
Form: Ghazal
zindgi ko pankh lagakr
na jane tu kaha udh gai....
asmaan ko manzil batakr
na jane tu kaha mudh gai...
waqt to chalta raha pr
na jane tu kaha tham gai....
Categories:
kaha, absence,
Form: ABC
This evening
Sheathed by sky
I saw my dad
In the clouds
Watching over me
Tears welled
His eyes said
stop
Go on
Im here
Watching
Kia kaha
Be strong
You are enough
You always have been
Categories:
kaha, childhood, dad, father son,
Form: Free verse
Socha tha tu hamara hoga...
dubte tinke ko jaise sahara hoga...
Socha tha ab nahe hoge tanhai se rubaru...
socha tha hoge fr nai zindagi shuru...
Lekin bhul gaye the kaha aati h khusiyaan hame raas... bus kevel tanhai hai aur rahege hamare pass...
Categories:
kaha,
Form: Dramatic Verse