Sample Of Creativity And Intelligence Investigation
1.Akhri Dastak.2.Ayena dikhana jurm.3.Adam khoron ki basti.4.Adab ka Alif.
5.Bay Iman Farz Shanas.6.Bikao mahirey nafsiyat.7.Bus karo Faraz.
8.Pagdandi pay chehal qadmi.9.Pigalti mom bati.
10.Top ka gola Angan mein.
11.Jitna tapao utna kundan.12.Jigar aur Janey Jigar.
13.Chori ka maal char anay.
14.Hamari awami zera plus.15.Hava pay kis ka zoor.
16.Khudi Kay hamrah.17.Kawa Firozi ki shatranj.18.Kati patang pay kis ka haq.
19.Kanpta tarazo.
20.Damini ka Daman.21.Devaron say magazmari.22.Daraoni niyat.
23.Reti rivaj kay bojh talay.
24.Zang Alood hamdardiyan.
25.Sotela pyar.26.Shayari ka anjam.
27.Qais tapti dhop mein.
28.Feeder penay ki Omar mein ganay chosnay ki khawahish.
29.Media phir say sensodyne.30.Manto ko likhnay na do.
31.Nikama jewan sathi.32.Nafs ki kaal kothri.
Note. Tasawur Ism Allah Zaat Ki Barkat.
The world is cruel except the victim who is betrayed and pushed towards agony.
Khawab dekhe the jo ankhon me reh gaye shayad,
Ban ke armaan ansoun me beeh gaye shayad,
Sham dhundlaye kyun raaste gumnaam hoe,
Sath hamsafr the jo dhund me kho gaye shayad,
Ab kyun angna me sakheon ka hujoom nahe,
Mujh se anjaan zamanee bhi hogaye shayad,
Nanhi jhoole me samaye hazaroo gham kaise,
Afaatein dekh kar daman bhi barh gaye shayad,
Dil ke virania ab ghatne ko tayar kahan,
Andhere raat ke mujh me he bus gaye shayad,
Chowdwein raat hai phir bhi ye andhere kaise,
Jalte chiraagh hawaoon se bujh gaye shayad,
Mere taqdeer ke kitaab to khali he rahe,
Purr the oraaq jo ashkoon se mit gaye shayad,
Khawab dekhe the jo ankhon me reh gaye shayad,
Ban ke armaan ansoun me beeh gaye shayad,
PYAR KA EHSAS
suni si wo jindagi , jisme na koi chah aur na wo pyar ka ehsas
badte rahe jindagi me,jis trah kaat rahe the hum jindagi
ek ichha hui kisi ko pane ki
hum ho jate pichhe , shayd na mile hume
par mil gyi wo khusi ,jo umid na hume
khusi hui, pyar ka ehsas hua us din
lga hume mil gyi manjil, par thi meri khusi do pal ki
chali gyi khusi humare daman se
khusi na mile ab hume dobara
un khusi ke palo ko man me bsa rakha hai
ab na aur khusi ki ichha hai hume
ab unhi khusi ke palo ko maan liya puri jindagi apni
Chahat main sambhlnay ka karina to sikha do,
Mushkil main bohat hoon zara jeena to sikha do,
Kiyoun chand say chehray pay baysakoni ki fiza hai
Ankhoon main chupi pyaas ko peena to sikha do,
Main sham dhalay aoon darwazay ko khula rakhna,
Dahleez pay bhi shama ko pighalna to sikha do,
Zakhmoon pe marham rakh ky kuch der to behlao,
Aur daman main howay chhedo’n* ko sena to sikha do..
(chhedo’n;holes)
Shabeeb Hashmi