Khawab Dekhe the Jo
Khawab dekhe the jo ankhon me reh gaye shayad,
Ban ke armaan ansoun me beeh gaye shayad,
Sham dhundlaye kyun raaste gumnaam hoe,
Sath hamsafr the jo dhund me kho gaye shayad,
Ab kyun angna me sakheon ka hujoom nahe,
Mujh se anjaan zamanee bhi hogaye shayad,
Nanhi jhoole me samaye hazaroo gham kaise,
Afaatein dekh kar daman bhi barh gaye shayad,
Dil ke virania ab ghatne ko tayar kahan,
Andhere raat ke mujh me he bus gaye shayad,
Chowdwein raat hai phir bhi ye andhere kaise,
Jalte chiraagh hawaoon se bujh gaye shayad,
Mere taqdeer ke kitaab to khali he rahe,
Purr the oraaq jo ashkoon se mit gaye shayad,
Khawab dekhe the jo ankhon me reh gaye shayad,
Ban ke armaan ansoun me beeh gaye shayad,
Copyright © Pakeeza Rizvi | Year Posted 2016
Post Comments
Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem. Negative comments will result your account being banned.
Please
Login
to post a comment