Hold thy hope, happy scene shall come,
To parched and keen, ocean shall come.
Rest nor relax O wayfarer,
Thy dream with joy within shall come.
________________________
Epigram | 09.08.2025 | dream, hope, patience, traveler
Note: Inspired from the original Urdu:
Rakh hauñslaa, voh mañzar bhi ayegaa,
Pyaase ke paas chalkar samañdar bhi ayegaa,
Thak kar na baith O mañzil ke musaaphir,
Mañzil bhi ayegi aur milne kaa mazaa bhi ayegaa.
Categories:
rakh, hope,
Form: Epigram
Tumhare baare mein har baat jaanne ka junoon sa tha,
Aaj tumhari bohot aadate meri aadaton ka hissa hai jisme ek sukoon sa hai.
Achha batao na, ab bhi kuch janana baaki hai kya?
Ya phir jo jaana hai, bas itna hi kaafi hai kya?
Suno na, kuch kehna tha... chhodo, rehne do,
Tum to ho hi ziddi, chalo fir bataata hoon ||
Har ek baatein tumhari har pal apnapan sa laati hain,
Jaise pichle janmon ke kuch khaas rishton ki yaadein jagati hain.
Cuteness ka jaadu to hai hi tum me, par pata hai alag kya hai wo hai thodi sanjeedgi ke saath,
Ab agar ye tulna kia jaye to ye aise hai jaise chaand ki alta aur suraj ki baat ||
Apne kaam se jo lagan tum dikhati ho,
Pata hai tum hai na zindagi ko apni tariko aur saleekho ke sath sajati ho.
Chhoti se chhoti baat bhi yaad rakh leti ho,
Achha sach sach batana kya tum use dil ke panne par likhti ho.
Last aur ek bat batata hu jis tarah tumhara andaaz sabse juda hai,
Tumhari baatein bhi khud mein hi khuda hai ||
Categories:
rakh, best friend, cute love,
Form: Lyric
Ishq ab ho nahin payega
Akele rehne mein sukoon sa miltha hain
Móhhabat ki rahon par chalne se
Dil bahut gabratha hain
Fir bhi kyun aaj kal teri bahon mein kho jaane ka mann karta hain
Tere naam se hi ab mera dil dhadak tha hain
Tujhe har dua mein rakh kar hi
Khuda mujhpe meherban hota hain
Categories:
rakh, i love you, longing,
Form: Nazm
The thing he calls heart
Man’s for long lost beyond trace
For lifelong to part.
What heaves in his hollow case
Keeps him alive, runs dead cart.
--------------------
Gulzaar | 02.04.2023 | Tanka
Poet’s note: Translation, from my collection of lyricist Gulzar’s short shires.
Woh cheez jise Dil kahate hain¸
Ham bhul gaye hain Rakh kar kahin
Categories:
rakh, heart, men,
Form: Tanka
Nikal k dil ko sine se, rakh du Teri kadmo me,
Dar h k tu ise kahi kuchal na de,
Khwahise mohabbat to tere dil me b h,
Dar h k tu ise kahi badal na de.
Majboor h mera dil apni aadto se,
Tujhe dekh har baar fishalta h,
Tu dur rah meri nazro se,
zra iss dil ko to sambhalne de.
Ishqe izaazat dil ko hamne naa di,
ye to teri adaaon ka maara h,
Tere pyar me mere bahke kadam,
Aur mera dil bechara h,
Sambhal leta iss dil ko,
phr socha thora tere pyar me ise jalne de.
Nazro ne dekha aur ho gai mujhse pyar ki khata,
Zra in nazro ko inke khata ki sza to Milne de.
Dil ka kya kasoor tha jb tumse nazre mili,
Dil toota kai baar, jb szaae mohabbat mili,
Rok leta dil ko apne,
phr socha zraa mohabbat me iss dil ko pighalne de.
Nikal k dil ko sine se, rakh du Teri kadmo me,
Dar h k tu ise kahi kuchal na de.
Categories:
rakh, hindi,
Form: Lyric
Dozakh aur Sharab.........
Tere laboan ka rang mile ga gulaab mein
Teri nigah e naaz ka nasha sharaab mein
Mil jaye gar woh aik baar mujh ko khwaab mein
Rakh doon ga dil ko cheer ke unki janaab mein
Dozakh mein mil rahi he mujhe peene ki saza
aatish bharak rahi he suboo-e-sharaab mein
Behre tashaffi aaen ge Muhammad e Mustafa
Bakshe gunah jayen ge roz e hisaab mein
Dil ki kitaab band na krna kabhi ay dost,
parhna likha hua he jo roshan kitab mein
Moosa ko gadriye ki samajh aaee na jo dua,,.
makhmoor tha woh nikhwat e baar e sawab mein
Du pal ka he suroor jo rakhe Khuda se dooor
shaitan ka he shor o shar sharb o sharab mein
Peeri mein sab ko aati he yaad e khuda hee kion?
he lutf jab ho yaad e khuda bhi shabab mein
by mazHur
Categories:
rakh, allah, angst, god, imagery,
Form: Ghazal
Raat guzray gi tu rakh layna bharam ajj kay baad
Hum na ayen gay kabhi shehar main teray ajj kay baad
Woh teray sheroon aur gazloon main mera khoo sa jana
Ab na parh payen gay dewan teray ajj kay baad,
Mujh ko lafzoon main saja kay jo kabhi likhy thay
Honthoon pay woh geet na ayen gay teray ajj kay baad
Sham aye gi tu pher chand bhi batlay ga hamain
Woh na jhankay ga kbhi ghar main teray ajj kay baad.
Categories:
rakh, relationship, urdu,
Form: Ghazal
Chahat main sambhlnay ka karina to sikha do,
Mushkil main bohat hoon zara jeena to sikha do,
Kiyoun chand say chehray pay baysakoni ki fiza hai
Ankhoon main chupi pyaas ko peena to sikha do,
Main sham dhalay aoon darwazay ko khula rakhna,
Dahleez pay bhi shama ko pighalna to sikha do,
Zakhmoon pe marham rakh ky kuch der to behlao,
Aur daman main howay chhedo’n* ko sena to sikha do..
(chhedo’n;holes)
Shabeeb Hashmi
Categories:
rakh, sad, urdu,
Form: Ghazal