raah-e-amn mein akshar khaaiyaan banaate hain
pyaar karne waalon mein dooriyaan banaate hain
aao ham gale milkar maat den siyaasat ko
jo bhi faasle apne darmiyaan banaate hain
zaalimon bhala kaise tum hamein ujaadoge
ham to vo hain jo dil mein bastiyaan banaate hain
haq bayaan karne se ham kabhi nahin darte
gaur se ye sun len jo bediyaan banaate hain
pur-sukoon hote hain khoo se tar-b-tar karke
hamko qatl kar ke vo surkhiyaan banaate hain
unko ye khabar kar do sach ka paasbaan hai rab
jo charaagh kii khaatir aandhiyaan banaate hain
door rahte dekha hai ilm unke bachchon se
muddaton se walid jo takhtiyan banaate hain
fazl-e-rab se hi unka raasta nahin rukta
doosron kii khaatir jo seedhiyaan banaate hain
Raat guzray gi tu rakh layna bharam ajj kay baad
Hum na ayen gay kabhi shehar main teray ajj kay baad
Woh teray sheroon aur gazloon main mera khoo sa jana
Ab na parh payen gay dewan teray ajj kay baad,
Mujh ko lafzoon main saja kay jo kabhi likhy thay
Honthoon pay woh geet na ayen gay teray ajj kay baad
Sham aye gi tu pher chand bhi batlay ga hamain
Woh na jhankay ga kbhi ghar main teray ajj kay baad.