Kya keemat hai khushi ki, kabhi socha hai tumne?
Ek muskurahat ke peeche kitni tooti hui ummeedein hoti hain.
Ek pal ki roshni ke liye,
Kayi andheron se guzarna padta hai.
Khushi milti hai...
Magar muft nahi.
Kabhi apni khamoshi bechni padti hai,
Kabhi kisi apne ki yaad mein raat bhar ro kar
Subah ek jhooti hasi pehnni padti hai.
Zindagi ke bazaar mein,
Jahaan har jazba bikta hai,
Wahan khushi bhi ek sauda hai
Jis mein dil ka sukoon reh jaata hai rehnuma ke bagair.
Log kehte hain —
"Khush raho, khud pe fakhr karo!"
Par kaise bataun,
Main har din thoda thoda bikta hoon
Apno ki khushi ke liye...
Aur apni khushi kho deta hoon.
Aankhon mein chamak ho ya dil mein toofan,
Dono ka hissab nahi hota.
Khushi ka hisaab koi nahi rakhta,
Bas dard ginna aasan hota hai.
Toh poochta hoon tumse —
Kya hai khushi ki keemat?
Ek wafadar dost?
Ek sachha pyaar?
Ya sirf ek lamha jahan tum
Apne hone ka matlab mehsoos karo?
Main toh ab bhi talaash mein hoon...
Na kisi dukaan mein mili,
Na kisi dua mein...
Par har aansu ke peeche
Ek chhoti si umeed chhupi rehti hai—
Ke shaayad kal... khushi sasti mil jaaye.
Categories:
subah, life, wisdom, words,
Form: Nazm
Kyun tu accha lagta hai,
tere deedar se yeh dil dhadakta hai,
Kya hai ye taluq hamara,
waqt mila toh sochenge.
Jo alfaz khamoshi mai chhup gaye,
jo khwab adhoore reh gaye,
Woh kaise bayaan honge,
waqt mila toh sochenge.
Teri muskaan ka jaadu,
kyun chand se milta jata hai,
Kya raaz chhupa in aankhon mai,
waqt mila toh sochenge.
Dil ke har ek kone main,
sirf tera hi zikr kyun hai,
Kya hai yeh junoon ,teri hi fikr kyun hai,
kabhi waqt mila toh sochenge.
Shab-e-tanhai ke lamhon main,
ya subah ke narm saaye main,
Kaun hai jo khayal ban jaata hai,
waqt mila toh sochenge.
Teri aankhon ki gehrayiyon main,
kya chand ki roshni basi hai,
Kya hai yeh noor-e-husn,
waqt mila toh sochenge.
Zindagi ke is hijr-o-wasl main,
kaun apna, kaun begana hai,
Is mohabbat ka haqiqi matlab,
waqt mila toh sochenge.
Dil ki dhadkanon ka sabab,
ye saanson ka silsila hai kya aakhir,
Jo uske deedar se tham jaati hain,
kabhi waqt mila toh sochenge.
Teri baaton ke sahil pe, khayalon ki lehar aaye,
Dil ki yeh beqarari , tujhe kaise samjhayen?
Mohabbat ka fasana hai, ya khwab hai adhoora sa,
Jo bhi hai yeh afsana, waqt mila toh sochenge.
Categories:
subah, addiction, age, i love
Form: Free verse
Jagte Jagte Yaad tumko kiye..
Need ke intjar me yaad tumko kiye..
Need aayi na tum hi aaye..
fir bhi bekarar hum yaad tumko kiye..
Subah Subah Takiye ko padad ke..
ad soye ad jage hue se..
ek yaad ko liye.. yaad tumko kiye..
Categories:
subah, longing, romantic,
Form: Rhyme
An incomplete is complete
Can a complete will complete
Uncleanching the paronama of heart
Tracking my own words
Which disappears in the midst of worldly attraction
Then a thought of extracted past comes up
Subah subah nazrana dekhna aur aage badhna
Falling leaves
Rejuvenating new ones
Giving a new look in old one
And doing new things to old one
Can a bark of a tree
Lives without a old tree
And infusing the lost idea
In the new day
Would be a cumbersome task
In a beautiful way.
Categories:
subah, art, autumn, beautiful, beauty,
Form: Light Verse
Five times a day,I pray to God,
Many things to come good,
Isha in the night to give me sleep,
Subah pre dusk to wake me from sleep,
Luhar about noon to fill my bowl,
Asar in the evening to keep me well,
Magrib post dawn to pardon my soul,
The first letters,five times read Islam,
The best way towards peace and calm!
Categories:
subah, religion,
Form: Blank verse