Get Your Premium Membership

Read Haste Poems Online

NextLast
 

Karwa Sach: Dhan Aur Rishte

U gujarna ab raaste pe badla badla sa lagta hai
Wo najariyan logo ka ab kuch kehta hua rahta hai
Pata nahi kuy ab rishtedar ijjat dene lage hai
Wo dost jo yaad tak nahi krte the aaj haal samachar aur sahuliat puchne lage hai
Wo karibi jo pata nahi kharab waqt me lupt ho gaye the aaj fir karib ho gaye hai
Wo samaaj jo haste the pata nahi ab haskar dusro ki baatein karne lag gaye hai!!

Karwa sach yah hai ki in sabke badlaav ke piche hai wah chij jise log kai nam se pukarte hai
Kabhi wah dhan, to kabhi paisa, to kabhi rupaye, kabhi sampati to kabhi daulat se jante hai
Naya rang aaya zindagi mein jab se maal-o-daulat mili
Har chera muskurata hai, har aankh lage hai mili-juli!!

Par socho zara, jo apno se juda ho gaye the kabhi
Woh kya sach mein apne hain ya sirf banaye hue sabhi
Samay ka chakkar aisa hai, kal jo tha woh kal nahi
Dhan ka mooh kala hai, pyar se badi koi pal nahi!!

Karwa sach to yah v hai janab, bhago aap is ke piche
Par dekhna kahi apne na chut jaye aur kuch atut riste na tut jaye
Rishton ki jamapunji ko hatho se sareaam kar do
Khudgarz duniya ke najar mein apno ko anjaan kar do!!

Copyright © Akash Jha

NextLast



Book: Shattered Sighs