Kyun tu accha lagta hai,
tere deedar se yeh dil dhadakta hai,
Kya hai ye taluq hamara,
waqt mila toh sochenge.
Jo alfaz khamoshi mai chhup gaye,
jo khwab adhoore reh gaye,
Woh kaise bayaan honge,
waqt mila toh sochenge.
Teri muskaan ka jaadu,
kyun chand se milta jata hai,
Kya raaz chhupa in aankhon mai,
waqt mila toh sochenge.
Dil ke har ek kone main,
sirf tera hi zikr kyun hai,
Kya hai yeh junoon ,teri hi fikr kyun hai,
kabhi waqt mila toh sochenge.
Shab-e-tanhai ke lamhon main,
ya subah ke narm saaye main,
Kaun hai jo khayal ban jaata hai,
waqt mila toh sochenge.
Teri aankhon ki gehrayiyon main,
kya chand ki roshni basi hai,
Kya hai yeh noor-e-husn,
waqt mila toh sochenge.
Zindagi ke is hijr-o-wasl main,
kaun apna, kaun begana hai,
Is mohabbat ka haqiqi matlab,
waqt mila toh sochenge.
Dil ki dhadkanon ka sabab,
ye saanson ka silsila hai kya aakhir,
Jo uske deedar se tham jaati hain,
kabhi waqt mila toh sochenge.
Teri baaton ke sahil pe, khayalon ki lehar aaye,
Dil ki yeh beqarari , tujhe kaise samjhayen?
Mohabbat ka fasana hai, ya khwab hai adhoora sa,
Jo bhi hai yeh afsana, waqt mila toh sochenge.
Categories:
khayal, addiction, age, i love
Form: Free verse
Kisi nazar mein kashish aisi, ke dil thehar jaye
Chahne wale ka har zakhm, khud sanwar jaye
Yeh jo lams hai tera, yeh jadoo ka raaz sa
Dil ki veeran galiyon mein roshni bhar jaye
Teri baaton ka asar dil pe utarta aisa
Har khayal, har dua tujh pe hi thehar jaye
Yeh mohabbat hai ya koi khwab ka dhoka
Jo bhi mile, wohi khwahish ban ke bikhar jaye
Meri har saans mein, tere wujood ka ehsaas
Mere dil ka har dukh, tere qadam par mar jaye
Kisi nazar mein kashish aisi, ke sab bhool jayein
Dil ke har goshe mein tu hi tu thehar jaye
Categories:
khayal, love,
Form: Ghazal
Kehne ko toh ghar ki sabse badi,
Pr vaise sbki jaan hain woh.
Sbki pareshaani lekr,
Khud rehti pareshaan h wo.
Parivaar mein sabka khayal hain rkhti ,
Pta nhi kaise prr vo nhi thakti
Kisi ko nhi dekh skti pareshaan hn,
Kyunki poore parivaar mein toh unki bsti jaan h.
Kismat waalon ko hi milti h maa,
Warna unse jaake poocho jo har wakt kehte hn tu khaan h maa.
Meri zindagi mein sbse pyaara tofa maa h,
Hrr pal vo sahi jo unki dikhayi raah h,
Bss ab uss pal ka h intezaar
Jb meri wajah se hi hongi khush vo aur meri wajah se khush hoga parivaar
Unka hrr khwaab unki hrr soch ko poora krna h
Bss maa, tere liye hi jeena tere liye hi marna h…..
tere liye hi jeena tere liye hi marna h!!!!
Maa you're the best !!
Categories:
khayal, appreciation, caregiving,
Form: Free verse
Tera tasaowur aur khayal aur kuch nahi
Bas ranj o gam aur malal aur kuch nahi
Tujh se mil kar aakhir ham karege kya
Shikwa shikayat aur sawal aur kuch nahi
Mohabbat pe meri mujhe itna fakar to hai
Hai pakiza aur halal aur kuch nahi
Categories:
khayal, books, boyfriend, break up,
Form: Romanticism
???? ???? ???? ???? ?? ??? ????,
???? ????? ???? ???? ?? ??? ????,
?? ???? ?? ??? ???? ?? ???? ?????? ???,
???? ?????? ?? ????, ??? ?? ??? ????? ??? ????,
???? ???? ????? ?? ??? ?? ???,
?? ??? ??? ?? ?? ?? ???? ??? ????,
?? ?? ?? ?? ??? ???? ?? ??? ??? ????,
???? ??? ?? ?? ???? ??? ????,
??? ??? ?? ??? ???? ?? ??? ????? ???????? ?? ?? ?????,
?? ?? ????? ???? ??? ?? ????? ??? ????
?? ??? ?? ????? ?? ??? ?? ?? ????? ???? ?? ??,
?? ???? ???? ???? ?? ???? ???? ??? ??? ???,
?? ???? ?????? ?? ?? ?? ?? ???? ????,
???? ????? ?? ???? ?????? ????,
?? ?? ??? ????? ??? ???? ??? ???,
???? ???? ??? ?? ??? ??? ???,
???? ???? ???? ????? ???? ?? ???,
???? ??,???? ????, ?? ?? ?? ????? ?????? ?? ???,
?? ???? ??? ???? ?? ??? ???, ?? ???? ?? ??? ?? ???? ??? ????,
???? ???? ???? ???? ?? ??? ????,
???? ????? ???? ???? ?? ??? ?????
Categories:
khayal, for her, hindi, i
Form: ABC
Akasar
Akasar mai ese khayal
mai duoba rhata hu ki kab
hogi apni mulakat jewaan
ki douba mai payal ki awaz
mai mehndi key rang mai
akasar douba rhta hoon
suney awaz tumhari jesey suni
raat key timtimatey tare ki
rhoshi mai odey chadar tanhai ka..
... Akasar mai rho leyta hoon
leykar dard zudai ka...
With love all
Jagdish bajantri
Categories:
khayal, absence, change, crazy, image,
Form: Ghazal
Vo thandi sarsarati hawa
Mujhe kuch keh ke chali gayi
Ranj-o-gam ki syahi me lipti
Kuch panne zindagi ke bhar gayi
Panne jab palat ke dekhe
To ek kahani simti dikhi
Na jane kab se dhool me padi thi
Kisi ke jeevan ki rubai mitati chali gayi
Kayi saal ho gaye uss sehar ko guzre hue
Ab to door tak vo hawa fir dikhti nahi
Meri zindagi ke vo panne jo usne bhare the
Unme jhakti meri rooh bhi marti rahi
Na jane vo hawa kya kehna chahti thi
Uski parchai bhi sirf yadon ko naseeb thi
Raton me bhi uska hi khayal ata he
Hum samajhte rahe aur vo udti chali gayi
Categories:
khayal, hindi, life,
Form: Light Verse
Woh chale bhi gaye to kia hua
Mein unhein roz yaad karta hoon
Dil mein rehta he bus khayal unka
Un hee kee dhun mein jeeta marta hoon
Kon hoon mein? samajh na paya kabhi
Khoj mein kion Khuda kee
rehta hoon?
Loag kuch aur hee samajhte hein
Soach per unki aahein bharta hoon.
Sochta hoon ke mein bhi mar jata
Jab teri qabr se guzarta hoon
Teri ruswaee ka he khauf
mujhe
Warna mein kab kisi se darta hoon?
Categories:
khayal, bereavement, death, grave, grief,
Form: Ghazal