Best Magar Poems
English Rhyming Translation
© Krishika Upadhyay | 2025
I’m breaking down, in lashes' shade,
In silent dreams, I wish I stayed.
I try to rise, on roads that smile,
But thorns have gripped my feet a while.
Yes, thorns are biting where I tread,
And tears now rest where sleep once spread.
It feels I’ll shatter, fade away,
Or lose myself in you someday.
I wish to hold you, cry a bit,
Release this poison where it sits.
But prayers alone can’t bring Him near,
And you no longer call me dear.
I sway between the calm and storm,
In memories where you stay warm.
I’ve lost my patience, lost my grace,
But still I crave your lost embrace.
And what to do? You never call.
Since you have gone, I bear it all.
This world’s turned hot like ruthless noon,
My face...a wilted, silent moon.
There’s no more joy I hold within,
Just dreams of you beneath my skin.
And how could smiles be mine again,
When what I lost was love... not pain?
I’ve said I’m shattered ...will you care?
To gather all my pieces there?
But deep inside, I truly know
You’ll break me once more, soft and slow.
Hindi~
"Main Bikhar Ke Bhi Tera Hi Raha"
(Even in Pieces, I Stayed Yours)
Bigad raha hun ,
Ki palkon ki chaav main doob jaaun
Sudhar raha hun ,
Ki muskurati raahon main nikal aaun
Par paanv m kaate lag rahe hain
Par paanv m kaate lag rahe hain
Kuch aansun aankhon m aate lg rahe hain
Lag rha hai bikhar jaaun yahin
Tujmain bas jaaun kahi
Tujhe baahon mai bhar rolun zara
Utarlun woh jehar jo h dil m bhara
Par ibaadat se.
Par ,ibaadat se khuda aata nahi
Tu mujhe pehle ki trh , ab bulata nhi
Bohot sehma , suljha , behaka rehta hun
Teri yaadon main mehaka rehta hun
Mujhko toh ab sabr aata nhi hai
Mujhko,
Toh ab sabr aata nhi hai
Par kya karun,
Tu ab mujhe bulata nhi hai
Tere jaane ke baad sab dhoop sa hai
Murjhaya hua mera roop sa h
Aur nhi h koi khusi mujhmai ,magar sapna hai
Aur nhi h koi khusi mujhmai magar ,sapna hai
Aur hogi bhi kese , jo maine khoya woh mera apna h
Ab bta diya ki bikhra hun , toh samet lena mujhe
Pr mujhe pta h , tu pyaar jatakar , dobara bikher dega mujhe
Categories:
magar, care, destiny, feelings, first
Form:
Rhyme
Sulagti si tanhaayi
Rooh fir se Ghabraayi
Beete Hue Din
Fir Aankh Bhar Aayi
Khamosh Sa Dil
Kuch Na Kah Paayi
Mausam Sa Badan
Naa Jagi Na So Payi
Dheron Hain Iljaam
Kab Hogi ye Sunwaayi
Samandar Hain Magar
Maut Ne hi Pyaas Bhujaayi
Kaash Tu Hota
Ufff Mohabbat ki Gehraayi
Categories:
magar, emotions, feelings, pain,
Form:
Ghazal
Sahafat kar magar asool Kay Saath,,
Baran baran crore Kay bunglay na bana,,
Qatil group Kay khilaf awaaz to utha,,
Haq Sach ko jhoot say na Mila....
Note.syed iqrar ul hassan shame on you....
Categories:
magar, bangla, hero, truth, urdu,
Form:
Free verse
Garyae gam hai abas deeda-e-nam se pahle
Be haqeeqat hai musarrat jo ho gam se pahle
Aashna ho gaye is se bhi yehi kya kam hai
Sunte the naam-e-sitam tere karam se pahle
Hum ko ilzaam to dete ho mohabbat ka magar
Tumne mahsus kiya tha ise ham se pahle
(Akhtar Muslimi)
Categories:
magar, urdu,
Form:
Ghazal
Whadidit usay?
A ale too far to sail on mar?
Ne’er too far for tha ner keday
And some kin jin us mestarar.
Neh join us there wit min an sord
to take dai in ur hansom handen.
We kanno come that way wid not a bord,
ni morro com Kig an Sor tostanden!
E kin waifor in borg till then.
Nolanger tha needle wai for us,
but canno wee morro on borofin
widot de somulin garolus.
So wesaled wid to foreston
ner de magar to forstallin.
Kig an Sor tostand wid sorrontom,
an nofor ken a pistollin!
Categories:
magar, conflict, courage, fate, nonsense,
Form:
Vogon Poetry
Agr tum mango th saja du chand ko tumhari ungilon pr,
aur laga du unn jagmagate sitaro ko tumhari pehre-dari pr,
Magar darta hu ki...
unki roshni m kahi tum mujhe na dekh paaogi.
Categories:
magar, change, deep, emotions, feelings,
Form:
Free verse
Naught has changed since ye left,
World moves with all its heft,
Night is as ere,
Moon light too there,
Only, sleep’s gone bereft.
___________________________
Gulzaar | 15.03.2023 | rhyme
Poet’s note: Translation, from my collection of lyricist Gulzar’s short shyries.
Tere jane se to kuchh badala nahi,
raat bhi aayi chand bhi tha, magar neend nahi.
Categories:
magar, change, love, sleep,
Form:
Rhyme
Mein shayer to nahi
Magar Ay Haseen
Jab say daikha Me nay
Tujh ko mujh ko
Shayari A gai.....
Categories:
magar, art, beauty, books, literature,
Form:
Tazkira
Me kafir to nahi
Magar ay haseen
Jab say mein nay
Daikha tujhko mujhko
Bandagi Aa gai..
Categories:
magar, inspirational love, people, places,
Form:
Lyric
Dil ki baatein dil tak hi thi,
Ya phir meri baaton mein bhi uska dil tha?
Uske dil mein chhupa hua ek raaz tha,
Jo dil ki jagah naino ne bayan kar diya.
Uski aankhon mein ek kahani thi,
Jismein har lafz meri nishani thi.
Woh khamosh thi, par keh rahi thi bahut,
Uski chup bhi ek zubaani thi.
Uske chehre pe jo halki si jhalak thi,
Woh mere sawaalon ki chhuti kasak thi.
Jaise woh meri dhadkan ko sun rahi ho,
Jaise mere khwaabon ko chun rahi ho.
Meri baaton ka asar tha, ya sirf fizaa,
Uski har ada mein chhupa tha mazaa.
Par uski khamoshi mein chhupa ek darr tha,
Jaise woh khud se hi bekhabar tha.
Ab bhi sochta hoon, woh kya kehna chahti,
Kya uski nigaahein mujhe apna maanti?
Ya yeh sirf mera bharam tha, koi chhalawa,
Jismein main dooba, magar usne bachaya?
Kahani adhuri hai, na jaanoon main khud,
Kya uske dil ka safar tha yeh jud?
Par itna yakeen hai, woh ehsaas saccha tha,
Uski aankhon mein jhalka jo sapna tha.
~Shruti
Categories:
magar, crush, love, teen,
Form:
Nazm
Takta hoon tum ko, yeh dil behak jata hai
Tumhare jalwe mein jahan tham sa jata hai
Tumhari aankhon ki gehraayi mein doob jata hoon
Tumhari muskaan pe har dard bhool jata hoon
Tum chalti ho to hawa gungunane lagti hai
Tum bolti ho to khamoshi bhi jagti hai
Yeh dil tumhare lamss ki tamanna liye
Har lamha teri qurbat ki dua kiye
Magar tum door ho, yeh faasle kyun hain?
Yeh faaslon mein bhi mohabbat ke geet kyun hain?
Takta hoon tum ko, aur jeeta hoon tum mein
Tumhare khwabon mein, aur haqeeqat ke gum mein
Categories:
magar, addiction,
Form:
Ghazal
Tumse anjaan toh nahi, par pehchaan itni mukammal bhi nahi.
Tumse har lamha juda hai, par kahani-e-safar itna saral bhi nahi.
Tere lafzon ki khamoshi, kuch raaz chhupati hai.
Main samajhna toh chaahun, par lafz kahan ban paati hai.
Tum jo ho, woh shayad waqt ka ek haseen ishara ho.
Par mera haal-e-dil, ab tak khud se bhi pyaara ho.
Tumse itni waqif bhi nahi ki har raaz khol doon.
Par itna ajnabi bhi nahi jo har jazbaat tol doon.
Kaise kahoon mera haal-e-dil?
Har khwaab mein tera hi manzar mile.
Chaahun bayaan karna, magar lafz kho jaayein.
Tere bina yeh daastaan adhoori reh jaaye.
Tu jo hai, duaon ka asar lagta hai.
Teri har muskaan mein sehar lagta hai.
Khamoshiyon mein bhi teri baatein sunoon.
Tere saath har dard ko hanskar banoon.
Tumse ajnabi nahi, par waqif bhi poori tarah nahi.
Teri har yaad mein kuch adhoora sa basta kahin.
Safar-e-kahani, tujhse hi roshan hai.
Tere bina yeh safar bas ek dhokha sa dhundhla pal hai.
Categories:
magar, feelings, love,
Form:
Lyric
Mein bay sharm aur bay gairat sahi,
Magar teri tarah gunda badmash nahi.
Categories:
magar, abuse, art, hurt, literature,
Form:
Narrative
Usse sabr karke jeena sikha Rahi hai jindagi
Jisse har chiz jidd karke pane ki aadt thi,
Usse un ankho ka intezar karna sikha Rahi hai jindagi
Jis har waqk hazaro palke bichaye baithe kafile ki adat thi,
Usse unki ek Nazar ke liye tarsa rahi hai Zindagi
Jisse har gadhi nazro ke bazaar mei ghumne ki adat thi,
Usse bund bund karke Ishq karna sikha Rahi hai Zindagi
Jisse mohabbat kadmo mei rakhne ki adat thi,
Usse kisi ke liye sadgi mei rehna sikha Rahi hai jindagi
Jisse kabhi sholah shringar ki adat thi,
Usse ek ek pal ki kimat sikha Rahi hai jindagi
Jisse waqt paiso se tolne ki adat thi,
Aur phir log kehte hai ki jindgi sirph imtehan leti hai
Magar Miya koi hamse puche toh bataye
Usse kisi ke liye jeena sikha rahi hai jindagi
Jisse Marne ki chahto se ghire rehne ki adat thi
Categories:
magar, beautiful, cute love, deep,
Form:
Rhyme
MAI... Mai nhi WAQT hu.
Har ghadi aage badhta,
Pr guzarta vahi se hu...
Ghumta rehta hu... magar thakta mai nhi...
Lagta hu sthir mai sirf ghadi m,
Pr socho tum dobara...
Kya sach me, ruka mai kabhi ???
Categories:
magar, confidence, deep, emotions, feelings,
Form:
Free verse