Best Darr Poems
Mujhe rehne do sapno me
Ki jeevan jeene se darr lagta he
Mujhe rehne do sannaton me
Ayurbal ke shor se darr lagta he
Bahut saare padav abhi baaki he
Par path chalne se darr lagta he
Abhi Kayi log milne baaki he
Par pehle walo se darr lagta he
Ve paraye aaj apno se lagte he
Lekin apno ki yaari se darr lagta he
Naye logo ko aaj na jaane Kyu
Dost kehne me darr lagta he
Jeevan ki ekantata tod , Bheed
ka hissa banne se darr lagta he
Bina kisi ka haath Thame Ab to
age badne se bhi darr lagta he
Kuch log mere liye bhi Jeete he
Unka soch marne se darr lagta he
marne ki kabhi sochta hu to
Maa papa ke ansu se darr lagta he
(Parth)
Faink siyahi, ki inqlab likhunga,
tere zulam o sitam k hissab likhunga
kalam e iman se naya aagaz likhunga
maut ka darr nahi,
Chithdo me udda do,
har katra e khoon se,
Insaaf likhunga .... ki inqilab likhunga
Dil ki baatein dil tak hi thi,
Ya phir meri baaton mein bhi uska dil tha?
Uske dil mein chhupa hua ek raaz tha,
Jo dil ki jagah naino ne bayan kar diya.
Uski aankhon mein ek kahani thi,
Jismein har lafz meri nishani thi.
Woh khamosh thi, par keh rahi thi bahut,
Uski chup bhi ek zubaani thi.
Uske chehre pe jo halki si jhalak thi,
Woh mere sawaalon ki chhuti kasak thi.
Jaise woh meri dhadkan ko sun rahi ho,
Jaise mere khwaabon ko chun rahi ho.
Meri baaton ka asar tha, ya sirf fizaa,
Uski har ada mein chhupa tha mazaa.
Par uski khamoshi mein chhupa ek darr tha,
Jaise woh khud se hi bekhabar tha.
Ab bhi sochta hoon, woh kya kehna chahti,
Kya uski nigaahein mujhe apna maanti?
Ya yeh sirf mera bharam tha, koi chhalawa,
Jismein main dooba, magar usne bachaya?
Kahani adhuri hai, na jaanoon main khud,
Kya uske dil ka safar tha yeh jud?
Par itna yakeen hai, woh ehsaas saccha tha,
Uski aankhon mein jhalka jo sapna tha.
~Shruti