Captive truth in pages stay confined,
History no kind be to mankind.
In vain Draupadis cry,
We all watch will-less dry,
Why just Dhritarashtra?
Proud, what we call rashtra,
Perhaps all of the world has turned blind.
__________________________
Translation |04.09.2024| history, women, world
Poet’s note: What with the happenings all around the world today, this quip based on an episode in Mahabharata, points a finger at all of us. Rashtra, Hindi, for nation. The original in Gujarati as transliterated (in PS-acceptable way) is as under:
Itihaas ne unchakee shakun evaaye skandh chhe,
Pan shun karun? Itihaas to paanaa maan bandh chhe.
Kalpaanta karati kyaar ni nirvastra Draupadi,
Dhritarashtra ni kyaan vaat, aakhun vishva andh chhe.
- Ashok Chavda
Categories:
bandh, history, women, world,
Form: Limerick
Aatish-e-junoon ki chingaari ho, beqaraar dil ka sukoon bhi
Androoni sard ki thandak ho, barf ko pighlaati maum bhi
Shab ki adhoori khwaab ho, sehar ka mukammal sapna bhi
Khayaali ek khooobsurat uljhan ho, suljhi hui haseen jawaab bhi
Dil ke taar se bajti tarannum ho, qalb mein chhupaane ki raaz bhi
Bewaqt khaamoshiyon ki wajah ho, arz ki hui dilkash ghazal bhi
Sannate mein saanson ki goonj ho, bandh darwaze ki dastak bhi
Ankahee lafzon ki zubaan ho, khuli kitaab ki bayaan-e-daastaan bhi
Azaad parindon ki parwaaz ho, insaani bandhishon ki aaghosh bhi
Guzarte raaston ki pechchan ho, faasiley par ek an-chooyi manzil bhi
Categories:
bandh, hindi,
Form: Nazm
Man samarpit, tan samarpit
Aur yah jeevan samarpit
Chaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon
Ma tumhara rin bahut hai, mai akinchan
Kintu itna kar raha phir bhi nivedan
Thaal mein laoo saja kar bhaal jab bhi
Kar daya sweekar lena wah samarpan
Gaan arpit, Praan arpit
Raqt ka kan kan samarpit
Chaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon
Maanj do talwaar, lao na deri
Bandh do kas kar kamar par dhaal meri
Bhaal par mal do charan ki dhool thodi
Sheesh par asheesh ki chhaya ghaneri
Swapn arpit, prashn arpit
Aayu ka kshan kshan samarpit
Chaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon
Todta hoon moh ka bandhan, kshama do
Gaon mere, dwar, ghar, aangan kshama do
Aaj seedhe haath mein talwaar de do
Aur bayeen haath mein dhwaj ko thama do
Yah suman lo, yah chaman lo
Need ka tran tran samarpit
Chaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon
Poet of this Poem is Shri Ramavtar Tyagi
Categories:
bandh, poetry,
Form: I do not know?