Short Magar Poems
Short Magar Poems. Below are examples of the most popular short poems about Magar by PoetrySoup poets. Search short poems about Magar by length and keyword.
Agr tum mango th saja du chand ko tumhari ungilon pr,
aur laga du unn jagmagate sitaro ko tumhari pehre-dari pr,
Magar darta hu ki...
unki roshni m kahi tum mujhe na dekh paaogi.
Categories:
magar, change, deep, emotions, feelings, how i feel,
Form:
Free verse
Sahafat kar magar asool Kay Saath,,
Baran baran crore Kay bunglay na bana,,
Qatil group Kay khilaf awaaz to utha,,
Haq Sach ko jhoot say na Mila....
Note.syed iqrar ul hassan shame on you....
Categories:
magar, bangla, hero, truth, urdu, voice, war, words,
Form:
Free verse
MAI... Mai nhi WAQT hu.
Har ghadi aage badhta,
Pr guzarta vahi se hu...
Ghumta rehta hu... magar thakta mai nhi...
Lagta hu sthir mai sirf ghadi m,
Pr socho tum dobara...
Kya sach me, ruka mai kabhi ???
Categories:
magar, confidence, deep, emotions, feelings, growth, imagination, inspirational,
Form:
Free verse
Garyae gam hai abas deeda-e-nam se pahle
Be haqeeqat hai musarrat jo ho gam se pahle
Aashna ho gaye is se bhi yehi kya kam hai
Sunte the naam-e-sitam tere karam se pahle
Hum ko ilzaam to dete ho mohabbat ka magar
Tumne mahsus kiya tha ise ham se pahle
(Akhtar Muslimi)
Categories:
magar, urdu,
Form:
Ghazal
Sulagti si tanhaayi
Rooh fir se Ghabraayi
Beete Hue Din
Fir Aankh Bhar Aayi
Khamosh Sa Dil
Kuch Na Kah Paayi
Mausam Sa Badan
Naa Jagi Na So Payi
Dheron Hain Iljaam
Kab Hogi ye Sunwaayi
Samandar Hain Magar
Maut Ne hi Pyaas Bhujaayi
Kaash Tu Hota
Ufff Mohabbat ki Gehraayi
Categories:
magar, emotions, feelings, pain,
Form:
Ghazal
Naught has changed since ye left,
World moves with all its heft,
Night is as ere,
Moon light too there,
Only, sleep’s gone bereft.
___________________________
Gulzaar | 15.03.2023 | rhyme
Poet’s note: Translation, from my collection of lyricist Gulzar’s short shyries.
Tere jane se to kuchh badala nahi,
raat bhi aayi chand bhi tha, magar neend nahi.
Categories:
magar, change, love, sleep,
Form:
Rhyme