main hu ek aajad pakshi ki trah
udti hu khule aasman me
jise n koi chinta, kisi ke shikar karne ki
udati rahu puri jindagi, aajad pakshi ki trah
koi n rakhe mujhe bandhi bna kar
udati rahu, udati rahu, aajad pakshi ki trah
khane ke liye bhatku idhar -udhar
n mile mujhe khane ke liye
bhukhe pet hi so jau
kitne bhi kasht mile, has kar sah lu unhe
koi phark n pade, ab kisi kasht ka
aadat hi ho gayi ab hume
main hu ek aajad pakshi ki trah
udati hu khule aasman me