Takta hoon tum ko, yeh dil behak jata hai
Tumhare jalwe mein jahan tham sa jata hai
Tumhari aankhon ki gehraayi mein doob jata hoon
Tumhari muskaan pe har dard bhool jata hoon
Tum chalti ho to hawa gungunane lagti hai
Tum bolti ho to khamoshi bhi jagti hai
Yeh dil tumhare lamss ki tamanna liye
Har lamha teri qurbat ki dua kiye
Magar tum door ho, yeh faasle kyun hain?
Yeh faaslon mein bhi mohabbat ke geet kyun hain?
Takta hoon tum ko, aur jeeta hoon tum mein
Tumhare khwabon mein, aur haqeeqat ke gum mein
Categories:
bolti, addiction,
Form: Ghazal
dil ki juvan tumse he bolti hain
sare raj dil ke tumse he kholti hain
sona to main bhi chahti hu
per meri nendon ke abh sapne kho gaye
jitne the khab mere bo sare chur chur ho gaye
ankhhon ke sare noor ashon sang roo gaye
main lash c
main thi bindass c
gujre palo ki gunje awaj bhi
per uljan hain k meri zindagi
tere bina hui bekar c
na koi dil ki khushi na hain koi dhun saj c
koi na sune abh dil ki awaj meri
jo harpal dhundti hain bus bahe teri
tere didar ko ankhein harpal tarsti hain
bus tere liye he pyasi hain
tere liye he harpal barsti hain yeh ankhein meri
Categories:
bolti, anniversary, books,
Form: ABC