'Andheron Ka Qaidi'
"Prisoner of Shadows"
Bhot sannata hai iss kamre main
Khamoshi chubh si rhi hai
Khidkiyon se guzarti hawa
Andhere se , uub si rahi hai
Aur ab main uss duniya main hun
Jahan sirf andhera hai
Jaha na accha hai na bura
Sirf tanhaiyon ne ghera hai
Yahan paani main chlne ki awazein hain
Kon mujhe har lamha dekh rha hai
Dar lagta hai iss sannate se
Koi meri namm aankhon m has rha hai
Thodi roshni hai dusre kone main
Par kaanch ki deewarein hain wahan
Mene paar jaane ki koshish ki hai pehle
Dusri taraf , ek haseen sa hai jahaan
Par yeh kaun hai
Jo mujhe baandh ke rakhta hai
Nhi chaahta main jaaun kahin
Mujhe mujhmain hi kaid kar rakha hai
Koi dusman hai mera,
Jo mujhe barbaad krne ki saazish kar raha hai
Koi kaatil hai yaa fir
Koi mere marne ki khwaish kar raha hai
Agr mujhe roshni m jaane nhi dena hai
Toh mujhe har dafa uski jhalak kyun dikhata hai
Kya darta hai mujhse woh
Mujhe apni zhalak kyun nhi dikh laata hai
Wese maine parchai dekhi hai uski
Kuch mere jesa dikhta hai
Kuch Sundar si aankhein hain uski
Andhere main Chand sa chamakta hai
Koi aadat , ibaadat , hidaayat h
Jo mujhse ,naata bana rkha hai
Kesa jahaan hai yeh khayaalon ka
Yeh isne kese aur kahaan tak bana rkha hai
Kabhi kabhi lagta hai , yeh bediyaan jo baandhi hain
Yeh phoolon si hai
Naa woh kareeb aata hai mere, naa zada dur rakhta hai mujhe
Yeh ajeeb duniya , uske usoolon si hai
Mann main ek sawaal hai mere
Kya woh main hi hun jo mujhe baand kar rakhta hai ? Yaa koi aur roop hai mera , jo mujhe khone se darta hai ? Darta hai ki dusri duniya main , mai dusron jesi ban jaaungi ? Aur hazaar baar bulaane par dobara laut kar nhi aaungi? Koi toh dar hai usse bhi jitna mujhe usse hai , woh baand kar rakh Raha hai ,yaa samhaal kar samajhna mushkil hai.
Par par
Ek roshni hai door kahin,
Magar deewaron ko bechaini hai,
Woh baandh ke rakh lega mujhko,
Usko yeh galat fehmi hai.
............
Copyright © Krishika Upadhyay | Year Posted 2025
Post Comments
Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem. Negative comments will result your account being banned.
Please
Login
to post a comment