Free online greeting card maker or poetry art generator. Create free custom printable greeting cards or art from photos and text online. Use PoetrySoup's free online software to make greeting cards from poems, quotes, or your own words. Generate memes, cards, or poetry art for any occasion; weddings, anniversaries, holidays, etc (See examples here). Make a card to show your loved one how special they are to you. Once you make a card, you can email it, download it, or share it with others on your favorite social network site like Facebook. Also, you can create shareable and downloadable cards from poetry on PoetrySoup. Use our poetry search engine to find the perfect poem, and then click the camera icon to create the card or art.
Enter Title (Not Required)
Enter Poem or Quote (Required)Required "Prisoner of Shadows" Bhot sannata hai iss kamre main Khamoshi chubh si rhi hai Khidkiyon se guzarti hawa Andhere se , uub si rahi hai Aur ab main uss duniya main hun Jahan sirf andhera hai Jaha na accha hai na bura Sirf tanhaiyon ne ghera hai Yahan paani main chlne ki awazein hain Kon mujhe har lamha dekh rha hai Dar lagta hai iss sannate se Koi meri namm aankhon m has rha hai Thodi roshni hai dusre kone main Par kaanch ki deewarein hain wahan Mene paar jaane ki koshish ki hai pehle Dusri taraf , ek haseen sa hai jahaan Par yeh kaun hai Jo mujhe baandh ke rakhta hai Nhi chaahta main jaaun kahin Mujhe mujhmain hi kaid kar rakha hai Koi dusman hai mera, Jo mujhe barbaad krne ki saazish kar raha hai Koi kaatil hai yaa fir Koi mere marne ki khwaish kar raha hai Agr mujhe roshni m jaane nhi dena hai Toh mujhe har dafa uski jhalak kyun dikhata hai Kya darta hai mujhse woh Mujhe apni zhalak kyun nhi dikh laata hai Wese maine parchai dekhi hai uski Kuch mere jesa dikhta hai Kuch Sundar si aankhein hain uski Andhere main Chand sa chamakta hai Koi aadat , ibaadat , hidaayat h Jo mujhse ,naata bana rkha hai Kesa jahaan hai yeh khayaalon ka Yeh isne kese aur kahaan tak bana rkha hai Kabhi kabhi lagta hai , yeh bediyaan jo baandhi hain Yeh phoolon si hai Naa woh kareeb aata hai mere, naa zada dur rakhta hai mujhe Yeh ajeeb duniya , uske usoolon si hai Mann main ek sawaal hai mere Kya woh main hi hun jo mujhe baand kar rakhta hai ? Yaa koi aur roop hai mera , jo mujhe khone se darta hai ? Darta hai ki dusri duniya main , mai dusron jesi ban jaaungi ? Aur hazaar baar bulaane par dobara laut kar nhi aaungi? Koi toh dar hai usse bhi jitna mujhe usse hai , woh baand kar rakh Raha hai ,yaa samhaal kar samajhna mushkil hai. Par par Ek roshni hai door kahin, Magar deewaron ko bechaini hai, Woh baandh ke rakh lega mujhko, Usko yeh galat fehmi hai. ............
Enter Author Name (Not Required)