Get Your Premium Membership

Best Poems Written by Parth Shrivastava

Below are the all-time best Parth Shrivastava poems as chosen by PoetrySoup members

View ALL Parth Shrivastava Poems

Details | Parth Shrivastava Poem

Darr Lagta He

Mujhe rehne do sapno me 
Ki jeevan jeene se darr lagta he
Mujhe rehne do sannaton me
Ayurbal ke shor se darr lagta he 

Bahut saare  padav abhi baaki he
Par path chalne se darr lagta he 
Abhi Kayi log milne baaki he 
Par pehle walo se darr lagta he

Ve paraye aaj apno se lagte he 
Lekin apno ki yaari se darr lagta he 
Naye logo ko aaj na jaane Kyu
Dost kehne me darr lagta he 

Jeevan ki ekantata tod , Bheed 
ka hissa banne se darr lagta he 
Bina kisi ka haath Thame Ab to 
age badne se bhi darr lagta he 

Kuch log mere liye bhi Jeete he 
Unka soch marne se darr lagta he
 marne ki kabhi sochta hu to
Maa papa ke ansu se darr lagta he 

              (Parth)

Copyright © Parth Shrivastava | Year Posted 2016



Details | Parth Shrivastava Poem

Zarra Zarra Maut

Meri shaksiyat pe gor karna,
Unsuljhi si lagegi
Mere beete kal pe gor karna,
Zindagi roothi si lagegi
Himmat ho tumme………..
To meri rooh dekh lena
Zarre zarre me maut ki,
Dastan dikhegi

      (Parth)

Copyright © Parth Shrivastava | Year Posted 2015

Details | Parth Shrivastava Poem

Vo Thandi Hawa

Vo thandi sarsarati hawa
Mujhe kuch keh ke chali gayi 
Ranj-o-gam ki syahi me lipti
Kuch panne zindagi ke bhar gayi

Panne jab palat ke dekhe 
To ek kahani simti dikhi
Na jane kab se dhool me padi thi 
Kisi ke jeevan ki rubai mitati chali gayi

Kayi saal ho gaye uss sehar ko guzre hue
Ab to door tak vo hawa fir dikhti nahi
Meri zindagi ke vo panne jo usne bhare the
Unme jhakti meri rooh bhi marti rahi

Na jane vo hawa kya kehna chahti thi 
Uski parchai bhi sirf yadon ko naseeb thi
Raton me bhi uska hi khayal ata he
Hum samajhte rahe aur vo udti chali gayi

Copyright © Parth Shrivastava | Year Posted 2016

Details | Parth Shrivastava Poem

Me Badnaseeb

Mene jab-jab dekha andhera dikha
Khwab bhi mele the dhuan dikha
Mene zindagi ko jeene ki koshish ki 
Jeene ka maksad bhi maut me mila 
                                                                                       
          (Parth)

Copyright © Parth Shrivastava | Year Posted 2015

Details | Parth Shrivastava Poem

Halat

Kya batau kese batau
Ki kya mushkile he
Bas itna samajhlo tum
Ki mustakbil gardish me he

Mene saha kese saha
Ki kya halat the wo
Bas tum itna Jaan lo
Ki Jung ab tabish se he

Me jeeyu ese jeeyu
Ki kya majbooriyan thi
Tumko bas itna ilm ho
Taare mere jumbish me he

Me kahu jese kahu
Ki kya me tujhe batalau
sun le tu khajaalat se
ki me ab khalish me hu

Copyright © Parth Shrivastava | Year Posted 2016



Details | Parth Shrivastava Poem

Mera Beeta Kal

Beete kal ke nishaan nirantar cheekha karte he 
Sher ki dhahad se mujhpe gurraya karte he 
Apne aane wale kal ko behtar karne me chala tha  
Mujhe kya pata tha ye jeevan ke baad bhi peecha karte he

Copyright © Parth Shrivastava | Year Posted 2016

Details | Parth Shrivastava Poem

Andhera Bahut Tha

Shayad meri zindagi me andhera bahut tha
Din ke baad raat me ujala bahut tha
Uss ujale se zindagi roshan hui meri
Zindagi ke baad maut me andhera bahut tha
                                                                        
       (Parth)

Copyright © Parth Shrivastava | Year Posted 2015

Details | Parth Shrivastava Poem

Dil Se Dosti

Dosto se bichadne ka gum jaante he hum 
Unse milne ki tadap ko mante he hum 
Dosti nibhayi he sacche dil se humne 
Tabhi to,
Sekdo ki bheeed me unki dhadkan pehchaante he hum
                                                                                             
            (Parth)

Copyright © Parth Shrivastava | Year Posted 2015


Book: Reflection on the Important Things