Dil ki baatein dil tak hi thi,
Ya phir meri baaton mein bhi uska dil tha?
Uske dil mein chhupa hua ek raaz tha,
Jo dil ki jagah naino ne bayan kar diya.
Uski aankhon mein ek kahani thi,
Jismein har lafz meri nishani thi.
Woh khamosh thi, par keh rahi thi bahut,
Uski chup bhi ek zubaani thi.
Uske chehre pe jo halki si jhalak thi,
Woh mere sawaalon ki chhuti kasak thi.
Jaise woh meri dhadkan ko sun rahi ho,
Jaise mere khwaabon ko chun rahi ho.
Meri baaton ka asar tha, ya sirf fizaa,
Uski har ada mein chhupa tha mazaa.
Par uski khamoshi mein chhupa ek darr tha,
Jaise woh khud se hi bekhabar tha.
Ab bhi sochta hoon, woh kya kehna chahti,
Kya uski nigaahein mujhe apna maanti?
Ya yeh sirf mera bharam tha, koi chhalawa,
Jismein main dooba, magar usne bachaya?
Kahani adhuri hai, na jaanoon main khud,
Kya uske dil ka safar tha yeh jud?
Par itna yakeen hai, woh ehsaas saccha tha,
Uski aankhon mein jhalka jo sapna tha.
~Shruti
Ye zindagi bhi alag he paheli hai,
Na Jane kiski kismat me kya liki hai.
Jo khelna caha wo bhi tuta, Jo na kela paya wo bhi Rutha,
Jo samaj na cha ha Wo apno se tuta.
Koi na jane kiske mane ,
Kya saccha kya juhta ye kon Jane ,
Insaan rang roop se bhar na dek paya,
Atma ko Chood kar sharir ko apnaya .
Khushi batne se badti hai,
Ek muskurahat me puri duniya Kilti hai.
Na kise ko dukh doo,
Na kabhi dukhi ho,
Doo din ki zindagi me Kush raho,
Hor Kush reha ne doo.
Ek dus reke bina puri duniya akeli hai,
Ye zindagi bhi ek alag hi paheli hai .........
-Affan.Shaikhsurab