Get Your Premium Membership

Faasle

Karvatein leti raaton ke, Khwahishon bhare faasle Samay se choote hue chaahat ke Zehmaton ke wo faasle Oat leti salvaton ke Gungunaate hue faasle Zubaan pe ladhkhadate hue pyaar ke Ikraar ke wo faasle Chand ke aur chandni ke Roshni bhare wo faasle Wo ulfat ke dhuon me Dil jalaate hue faasle Nahakar paak lafzon me Ilm-e-jehan ke wo faasle Simat ke hoton pe Siharti saans ke wo faasle zindagi ke parwaan par kabhi na khatm hotey faasle tere aur mere aur hamaare wo faasle Wo faasle…

Copyright © | Year Posted 2012




Post Comments

Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem.

Please Login to post a comment

A comment has not been posted for this poem. Encourage a poet by being the first to comment.


Book: Shattered Sighs