Get Your Premium Membership

Kaisay Aisay


Hamaray watan mein chand log aisay bhi hain jo underworld don ko bay aib aur masoom kehtay hain.Aisay afraad jhot boltay hain.Bay aib zaat khuda ki hai aur masoom farishtay hain mafia head nahi.((Aye jantay hain Underworld kaisay kaam karta hai??
DON aisa shaks hota hai jo bay panah dolat asar-o-rasokh aur connections rakhta hai sirf itna hi nahi ye direct ya indirect galat kamon me zaroor involve hota hai.
Ye shatir chaalaak makaar Lomri say bhi zaida taiz hota hai.Ye janta hai kis shaks say kaisay apna kaam nikalwana hai.Aisa shaks intelligence officials ki madad kay bagair aik qadam bhi nahi chal sakta.Agencies aisay shaks kay kalay kartoton par parday daltin hain aur badlay me zarorat parnay par apnay kaam nikalvati hain.Ye shaks har wo kaam kar guzarnay ki salahiyat rakhta hai jis ki ijazat kisi bhi mulk ka qanoon nahi dayta.
Masalan; Manshiyaat,, smuggling,, ya phir kisi ko thikanay lagana vagera vagera..
Aisay shaks ki muthi me intahai khatarnak log hotay hain jin ko kisi bhi waqt apnay kisi bhi kaam kay liye harkat me La sakta hai. Police kay Ashirwad kay bagair kisi ka baap bhi DON nahi ban sakta.Underworld aisay kaam karta hai))..


Comments

Please Login to post a comment

A comment has not been posted for this short story. Encourage a writer by being the first to comment.


Book: Reflection on the Important Things