Get Your Premium Membership

Read Mein Poems Online

NextLast
 

Gham-e-Ishq Mein Haara Hua Panchhi

Gham-e-Ishq Mein Haara Hua Panchhi  
Main apnon ka maara hua panchhi  
Raahay manzil ka pata aik shikari se pooch ke  
Main aik naye pinjray mein phansaya hua panchhi  

Meri hurmat ka imtihan hai, aur daanay hain kam  
Main maalik ka sataya hua panchhi  
Chaar din ki hai zindagi, teen guzar gaye pinjray mein  
Main apni taqdeer ka rulaya hua panchhi  

Chehchahane se main thaka nahi, lekin chup hoon  
Zang alood salakhon mein chhupaya hua panchhi  
Dhoop aur barish mein dekh leta hoon aksar  
Main neend se bedaar karaya hua panchhi  

Lagta hai umr poori ho gayi shayad  
Main pinjray se bahar uraya hua panchhi  
Thandi hawa aur burhapa mera  
Main aik shaakh pe baitha murjhaya hua panchhi  

Toofaan hai zyada, na ghar hai koi  
Main doosray panchhiyon ka khaya hua panchhi  
Ye bijli ki taar hai, oonchi mehfooz bhi  
Main har maut mara maraya hua panchhi

Copyright © Saif Ali Khan Tareen

NextLast



Book: Radiant Verses: A Journey Through Inspiring Poetry