Mujhsa Pareshan Aadmi
Behad manhoos sa aur aam aadmi
Kabhi dekha hai mujhsa pareshan aadmi?
Jeene ki chaah liye zindagi se haara jo,
Zindagi ke falsafe se anjaan aadmi.
Ishq ko kahe Khuda, ishq mein haara hua,
Ishq mein jo ho gaya nakaam aadmi.
Jiske chaaron or tha shor bas bheed ka,
Ab reh gaya wo khaali sa makaan aadmi.
Auron ki zaruraton mein ho gaya kharch jo,
Kabhi dekha hai kya aisa beimaan aadmi?
Manzilon par pahunch kar manzilon ko dhoondhta,
Jeetkar haara jo, aisa nakaam aadmi.
Copyright © Sp Rediwala | Year Posted 2025
Post Comments
Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem. Negative comments will result your account being banned.
Please
Login
to post a comment