Guru
Guru
Kya kahun mein tumko,
Tumhari sakshiyat chand lafzo ki
ravaanee nahin,
Tumhari sakshiyat behte dariyaan ka
paani nahin,
Tum chadi ho un ladkhadaate kadmo ki
Jinko na sahaare kee ummeed thi
Na udne ki aasha,
Tum aavaaz ho un band zabaano ki
Jinkee kilkaariyo me hai
Gungunaane ki abhilaasha,
Girate bando ko sambhaala tumne,
Mujh mitti ki moorat ko
Insaan banaaya tumne,
Agyaanta kk boondo ko
Gyaan ka saagar banaaya tumne,
Tum sakhi mere , tum aasha mere
Tum abhilaasha mere,
Giraate bando ko sambhaala tumne,
Mujh mitti kee moorat ko
Insaan banaaya tumne,
Agyaanata ki bundo ko
Gyaan ka saagar banaaya tumne,
Tum sakhi ho mere, tum aasha ho mere,
Tum abhilaasha mere,
Is berang duniyaan mein ishvar rupi guroo mere,
Shukriya kehne ki meri aukaat nahin,
Mere liye tumhare sakshiyat
Chand lafzo ki saugaat nahin,
kya kahoon tum tumko ...
-Nazia
Copyright © Nazia Khatoon | Year Posted 2018
Post Comments
Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem. Negative comments will result your account being banned.
Please
Login
to post a comment