Details |
Sp Rediwala Poem
Behad manhoos sa aur aam aadmi
Kabhi dekha hai mujhsa pareshan aadmi?
Jeene ki chaah liye zindagi se haara jo,
Zindagi ke falsafe se anjaan aadmi.
Ishq ko kahe Khuda, ishq mein haara hua,
Ishq mein jo ho gaya nakaam aadmi.
Jiske chaaron or tha shor bas bheed ka,
Ab reh gaya wo khaali sa makaan aadmi.
Auron ki zaruraton mein ho gaya kharch jo,
Kabhi dekha hai kya aisa beimaan aadmi?
Manzilon par pahunch kar manzilon ko dhoondhta,
Jeetkar haara jo, aisa nakaam aadmi.
Copyright © Sp Rediwala | Year Posted 2025
|
Details |
Sp Rediwala Poem
Main thehar gaya hoon aur mann teri ore chalne laga hai
Tu itni khoobsurat hai ki chaand bhi jalne laga hai
Tujhe dekh raha hoon aur mil raha hai sukoon mujhko
Ye tera nasha hi to hai jo bin piye chadhne laga hai
Hai ye bhi darr ki kahin toot na jaaye phir ek baar
Par ye dil ki mujhse hi bagawat karne laga hai
Bana na le tujhe apna koi, mujhe der na ho jaaye
Baitha hua hai gehri soch mein, haath malne laga hai
Kaise kahoon main tujhe banana chahta hoon apni dulhan
Meri aankhon mein phir ye ek khwaab palne laga hai
-Sp Rediwala
Copyright © Sp Rediwala | Year Posted 2025
|
Details |
Sp Rediwala Poem
Yaadein teri har roz shaam ko darwaaze se jhaankti hain
Main bhi sota nahi raat ko, ye bhi saath mein jaagti hain
Lekar aati hain saath mein baatein, kasmein aur sab waade
Bahta hai phir neer aankhon se, meri naa ye maanti hain
Ab to teri tasveeron se bhi dar lagne laga hai mujhe
Chhoone lagta hoon jab inko, ungliyaan meri kaampati hain
Poochhta hai jab koi tere baare mein, unko yahi kehta hoon
Na mera koi vaasta usse, na wo mujhko jaanti hai
Sab kehte hain kitni achhi shayari likh leta hoon main
Ab unko kya hai maaloom, ye sab rehmat aapki hai
- Sp Rediwala
Copyright © Sp Rediwala | Year Posted 2025
|