Sarwari Silsila
Sarwari silsila kay aik saint nay faiz ki niyat say aik talib par tavajo ki leykan talib ko kuch hasil na hova.Saint nay aik dosray saint say pocha kya wajah hai kyun meri tawajo say talib ko faiz nahi hova.Dosra Saint bola talib mein nafsani khawahishat mojood hain.Tawajo karnay valay nay kaha khawahishat to mujh me bhi mojood hain.Mujhay to meray murshid ki tawajo say faiz hova hai.Dosra bola tumhari tawajo me wo baat nahi jo tumharay murshid ki tawajo me thi.
1.Tawajo karna har buzurg kay bus ki baat nahi.
2.Har saint tawajo me kamil nahi hota.
3.Auliya bhi nafsani khawahishat say Pak nahi.
4.Riyazat aur mujahiday ka koi faida nahi hai.
5.Zikr azkaar wird wazaif say kuch nahi milta.
6.Deen nafsani khawahishat khatam karna nahi.
Couplet
Jaisay har ice cream con nahi hota
Aisay hi har badmash don nahi hota.
Comments