Get Your Premium Membership

Read Poems by Sufi Mohammad Tanveer Sajid Naqshbandi

Sufi Mohammad Tanveer Sajid  Naqshbandi  Avatar    Block poet from commenting on your poetry

Below are poems written by poet Sufi Mohammad Tanveer Sajid Naqshbandi . Click the Next or Previous links below the poem to navigate between poems. Remember, Poetrysoup is an environment of encouragement and growth. Thank you.

List of ALL Sufi Mohammad Tanveer Sajid Naqshbandi poems

Best Sufi Mohammad Tanveer Sajid Naqshbandi Poems

+ Follow Poet

The poem(s) are below...



NextLast

Dono Alam ke Sarkar Ajayiye

1- Behredeedar mushtaq hai har nazar-2,
Dono Alam ke sarkar aa jayiye.

2-Akhri wakt hai aur pichla peher-2
Dono Alam ke sardaar ajayiye.

3- ^Sidratul Muntaha Arsh Babe-e Iram-2, har jagah pad chuka hai nishane qadam,

Ab to ik bar apne, Ghulamo ke ghar-2, dono alam ke sarkar aa jayiye.

4- -Jalwagar Samne paikare noor ho,-2 Munkiro ka bhi Sarkar shak door ho.

Kar ke tabdeel ek din libase bashar,-2 dono alam ke sarkaar aa jayiye.

5- -aaj mehshar me mehbub ki dhoom hai-2, shane izzo karam sabko malum bai.

Yun lutate hue rahmato ke guhar-3
Dono alam ke sarkar aa jayiye.

6- Akhri waqt hai ek bimar ka-3 dil machalne laga shauke didar ka.

Bujh na jaye kahi ye chiraghe sahar-2 
Dono alam ke sarkar aa jayiye.

7- Shaame ghurbat hai aur shehre khamosh hai-2 ek Sajid akela kafan posh hai,

Khauf ki hai ghadi waqt hai pur khatar-2 dono alam ke sarkar aa jayiye.

Copyright © Sufi Mohammad Tanveer Sajid Naqshbandi | Year Posted 2025

NextLast

Post Comments

Please Login to post a comment




A comment has not been posted for this poem. Be the first to comment.



Back


Book: Reflection on the Important Things