Get Your Premium Membership

Read Poems by Malem Luwang

Malem Luwang Avatar  Send Soup Mail  Block poet from commenting on your poetry

Below are poems written by poet Malem Luwang. Click the Next or Previous links below the poem to navigate between poems. Remember, Poetrysoup is an environment of encouragement and growth. Thank you.

List of ALL Malem Luwang poems

Best Malem Luwang Poems

+ Follow Poet

The poem(s) are below...



NextLast

Kyun kisse koi farak pare

Shayari bunne waali zubaan,
Ab formulas ratte hain.
Kaagazon mein apna dil behlaane waale haath,
Ab projects likhte hain.
Jo dill azzad udd, kitaabe likhte the,
Aaj wahi kitaabon ke bojh tale dabe hain.
Jo aankhein sapne dekhna ko bane the,
Ab raat raat undekhe sapnon ke liye jaagte hain.
Jo pair duniyaa dekhne ko taraste the,
Ab classes se tuitions tak ke chakkar kaantein hain.
Fankaar toh kayi aaye aur chale gaye
Kayi sayariyaan suni unsuni reh gayi
Kayi kahaaniyan kahi unkahi reh gayu
Kayi gaane apni awaaj tak naa dhoond paaye.
Kuch samaajh ke bojh tale dab gaye
Kuch kitaabon ke bojh tale.
Par bhala kyun kisse koi farak pare
Fankaaron ki kadra kyun kare,
Akhir...
"Sharma ji ke bete ko 98% aaye hain"
Bas yuhi sapne dab gaye
Yuhi zindagiyaan katt gayi.
Kayi baatein unkahi reh gayi
Kayi sapne undekhe reh gaye.
Sarkaari naukari ka zamana hain sahab,
Yaha dil ki baatein nahi, dil ka ilaaj hota hain.
Amirron ka zamana hain, babu moshai,
Yaha sapnon ke peeche nahi bhaagte,
 sapne khareede jaate hain.
Par kyun kisse koi farak pare
Fankaaron ki kadra kyun kare


Copyright © Malem Luwang | Year Posted 2025

NextLast

Post Comments

Please Login to post a comment




A comment has not been posted for this poem. Be the first to comment.



Back


Book: Reflection on the Important Things