Get Your Premium Membership

Best Poems Written by Yash Aggarwal

Below are the all-time best Yash Aggarwal poems as chosen by PoetrySoup members

View ALL Yash Aggarwal Poems

Details | Yash Aggarwal Poem

Betiyan

BABA KI BITIYA PAPA KI RAJDULARI…….
EK NANHI KALI EK PHULON KI KYARI……..
EK NANHI PARI SI WO EK CHOTI SI GUDIYA……..
KBHI SABKA KHILONA KBHI LADLI BAN JAYE……..
KBHI SURAJ SI KIRAN SI WO ROSHAN KR JAYE………
CHANDA SI SHEETAL HAR RISTA NIBHAYE……….
 PATJHAR KE PATTON SI DUKHON ME JHAD JAYE…….
 KBHI BARISH K BUNDON SI WO MAMTA BARSAYE………
EK PATHAR KI MURAT ME WO DEVI BAN JAYE……..
KBHI PATHAR DIL DUNIYA ME DAR DAR THOKRE KHAYE……….
JAB AURAT BANE MAA TO KOI BETI NA CHAHE……..
EK AURAT HI KALANK BTA USE GARBH ME USE MITAYE……
BETI BETE SE KAM NHI HAR KADAM SE KADAM MILAYE…….
FIR KYUN RISTON KI BHEED ME PICHE CHUT JAYE……….
EK JANNI EK JANAM DATA H WO…….
KBHI VIDHVANSHAK EK VIDHATA H WO………
KBHI LAXMI KBHI SARASWATI 
WAQT PDE TO DURGA BAN JAYE…..

………………………….SAVE GIRL CHILD …………………………..

Copyright © Yash Aggarwal | Year Posted 2014



Details | Yash Aggarwal Poem

Tanha Garg

Tanha Garg....
 Ek ladka deewana sa....
Ek ladki ko chahne lga...
Aise lagi preet use...
Usko apna khne lga...
Ankhon me ke k sapne hzar
Usko dil me bsane lga
Ek din lagi use chot pyar ki
Tukdo me wo bikhar gya
Tuta dil tute khawab sab
Haye judai shne lga
Preet na chuti uski pyar ki
Bekhabar sa wo rhne lga
Aise mari thokar sbne
Tanha garg khlane lga...
 Amar prem tha preet amar 
thi.... 
Cheen liye sb hq jeene k...
Mout ne apna hath diya...
Or dewana wo chala gya...

Copyright © Yash Aggarwal | Year Posted 2013

Details | Yash Aggarwal Poem

Insan

Suraj sa tapta ye roshan savera.....
Taron si bikhri ye kali rat h.....
Koi soye alishaN makano me.... .
Kisi ki chadar ye chandni rat h....
Kaise ye ajab duniya h....
Kaisa ajab insan h......

Khi Bahta h pani yo gande nalo me.....
Khi 2 ghunt ko tadpta ek mayus insan h....
Khi bikta h razhan bajaro me....
Khi 2 waqt ko mohtaj ek gareeb insan h....
Kaise ye ajab duniya h
Kaisa ajab insan h......

Khi lge nokri sifaris se......
Khi mile riswat hjaron me....
To khi berojgar ek nojwan h......
Koi anpad bne mantri jhan...
Ek shikshak khi preshan h......
Kaise ye ajab duniya h.....
Kaisa ajab insan h.....

Pathar bna jise puja h, Ourat bna thukraya h......
Ghr me najo se pli bitiya, sasural me use jlaya h.....
Paisa h sbse bda yhan, ek sikka sbki jaan h....
Kaise ye ajab duniya h........
Kaisa ajab insana h........

Bikta hr rista dukano pe, Lakhon iske kharidar h......
Sb riste yhan bikau h, bs insaniyat yhan bejar h....
Maine bhi khrida ek rista, jo anmol shi pe lachar h....
Koi bandish koi pabndi khe, yashu ne kha ye phar h....
Kaise he aJaB duniya h, kIsa ajab insan h.......

Copyright © Yash Aggarwal | Year Posted 2014


Book: Shattered Sighs