Details |
Nasir Nawaz Poem
Iffat o paak damani, ab shaaz shaaz hai
Baatin mera ayyaar, main mashhoor daghaal hoon
Bazaar mein har shay ki qeemat to hai magar
Main har shay se arzaa'n, faqat ek riyal hoon.
Haseeno ko hun hasil, main aurat wabaal hoon
Tum bhi haseen ho? To main tumhara hi maal hoon
Titli hoon, khushnuma phoolon par hai nazar
Tum bhi jo gul-badan ho? main tum ko halaal hoon.
Masoom dikhti hoon, bazahir paarsa bhi hoon
Parday ke peeche burai ki a‘la misaal hoon
Aashiq kare israar to kapray utaar doon
Taqaddus ke naam par, bamsil fitna-e-Dajjal hoon.
Mera har rang hai dhoka, mera har roop pur-fareb
Main baaghi, main sarkash, main zehr-e-qital hoon
Yeh husn, yeh nazakat, yeh kirdar sab fareb
Chadar bhi barhana, main jahannum ki shaal hoon.
Paarsayi ke libaas mein paarsa nahin hoon main
Main faasiqa, main faajira, main Iblees ki chaal hoon
Yeh rasam asr-e-haazir hai, na sharam hai na ghairat hai
Hoon to main paarsa, magar! main ek chhinal hoon
Copyright © Nasir Nawaz | Year Posted 2025
|