Details |
Ahtisham Aslam Poem
kis liye be-qaraar hain aankhen
kis ke gham mein shumaar hain aankhen
aap hain dil kii baat karte hain
aap par jaan-nisaar hain aankhen
kitne maasoom maar dale hain
kitni karti shikaar hain aankhen
ladkhadaate hain dekhne waale
uski itni khumaar hain aankhen
jab se dekha hai uski aankhon ko
zehn-o-dil par sawaar hain aankhen
Copyright © Ahtisham Aslam | Year Posted 2025
|
Details |
Ahtisham Aslam Poem
raah-e-amn mein akshar khaaiyaan banaate hain
pyaar karne waalon mein dooriyaan banaate hain
aao ham gale milkar maat den siyaasat ko
jo bhi faasle apne darmiyaan banaate hain
zaalimon bhala kaise tum hamein ujaadoge
ham to vo hain jo dil mein bastiyaan banaate hain
haq bayaan karne se ham kabhi nahin darte
gaur se ye sun len jo bediyaan banaate hain
pur-sukoon hote hain khoo se tar-b-tar karke
hamko qatl kar ke vo surkhiyaan banaate hain
unko ye khabar kar do sach ka paasbaan hai rab
jo charaagh kii khaatir aandhiyaan banaate hain
door rahte dekha hai ilm unke bachchon se
muddaton se walid jo takhtiyan banaate hain
fazl-e-rab se hi unka raasta nahin rukta
doosron kii khaatir jo seedhiyaan banaate hain
Copyright © Ahtisham Aslam | Year Posted 2025
|
Details |
Ahtisham Aslam Poem
ye dard-e-be-dawa hai aur main hoon
magar ye dil-kusha hai aur main hoon
museebat aur lambi zindagaani
buzurgon kii dua hai aur main hoon
dayaar-e-ishq mein hoon aur labon par
tera hi tazkira hai aur main hoon
muqaddar ne nigaahen fer li hain
dukhon ka silsila hai aur main hoon
udhar to naam tera chal raha hai
idhar zikr-e-wafa hai aur main hoon
ghazal likhne chala furqat pe apni
radif-o-qaafiya hai aur main hoon
sunaau ehtishaam apni kahaani
yahan bas aaina hai aur main hoon
Copyright © Ahtisham Aslam | Year Posted 2025
|