| |
Main jaa rahan hun ab
Kuch chahta tha mein,
kuch sochta hun ab
Kuch mangta tha main,
ye manta hun ab
Kuch dor uljhi si thi wo suljha rahan hun ab
Main jaa rahan hun ab….
Ek khwab tuta sa yahin,
Ek lau si udti thi kahin,
Kuch manzilen, kuch faasle
Jeewan jahan na saans le
Us maut ke manjar ko bas jhutla rahan hun ab
Main jaa rahan hun ab….
Kuch dard meetha sa yahin
Kuch chubhti hasi maut ki
Kuch tehalti saansen neend ki
Kuch shor sa sannate ka
Bhoole hue us ehsaas ko yaad aa rahan hun ab
Main jaa raha hun ab
Kya din hai aur kya raat hai,
Kya rang aur kya zaat hai,
Shauhrat hai kya jazbaat hai
Kuch lamho ki hi baat hai
Bas us ghadi, bas us sehar, ko gaa raha hun ab
Main jaa rahan hun ab….
Jeewan ki wo haya yahin
Pratibimb se judti thi kahin
Us dambh aur us pyaar ko
Kagaz ke is zaahaz mein
Sehraon ke us paar lekar ja rahan hu ab
Main ja rahan hun ab….
ek jurm seene mein kahin dafna raha hun ab
besharm si is jindagi se sharma raha hun ab…
|