Comments Inbox
| |
Ye Zindagi
Kahin kuch ho ki
taqdeerein badal jaayein ye ashqon ki…
dil mein talab hai ki
masjiden badal jaayein ye sajdon ki…
Kya ho tum aur kya hain hum…
gham hi mein dhoondte hai gham…
baat tab ho ki jab maut bhi ho thahakon ki..
Karein jazbaat ka sauda,
ya apne aap ka sauda…
nazm tab ho ki
kuch baatein suni jaaye ye jazbon ki…
Khafa khud se ya khud-a se…
Lehar si is dhara se
Ya ufante aasman se
Kahein kuch bi magar ye sab
meherbani hai rasmon ki…
Ladakhpan main sarakti dhoop
Tehalti neend bachpan ki
Wo kisse mohabbat ke,
Wo chehre pe chamak si alag
Karam uske, bharam uske
Fisalti ret waqton ki
Zindagi badi pechidaa hai,
ya badi khushnasibaa hai..
Agar ulfat hai ye sab hi
Jiyoge zindagi ko kya
Karein shuruwaat ham kuch hi
Khatm koi baat karo tum bhi
Baat unki hai yaaron ki,
ye bemaani hai raston ki..
|
|
|