Get Your Premium Membership

Best Poems Written by Akhtar Muslimi

Below are the all-time best Akhtar Muslimi poems as chosen by PoetrySoup members

View ALL Akhtar Muslimi Poems

Details | Akhtar Muslimi Poem

Garyae Gam Hai Abas Deeda-E-Nam Se Pahle

Garyae gam hai abas deeda-e-nam se pahle
Be haqeeqat hai musarrat jo ho gam se pahle
Aashna ho gaye is se bhi yehi kya kam hai
Sunte the naam-e-sitam tere karam se pahle
Hum ko ilzaam to dete ho mohabbat ka magar
Tumne mahsus kiya tha ise ham se pahle
(Akhtar Muslimi)

Copyright © Akhtar Muslimi | Year Posted 2015



Details | Akhtar Muslimi Poem

Jabeen Apni Kahin Kham Ho Na Jaye

Jabeen apni kahin kham ho na jaye
Mizaj-e-husn barham ho na jaye
Bhuja to di meri sham-e-tamanna
Chirag-e-zeest madham ho na jaye
Suna to du tumhe afsaana-e-gam
Tumhari aankh purnam ho na jaye
Na dekho yun mohabbat ki nazar se
Yeh amrit hi mujhe sam ho na jaye
Zamana ke talawwun ko to samjho
Musarrat hi kahin gam ho na jaye
Hai taamer-e-hayat Akhtar isi se
Yeh dard-e-dil kahin kam ho na jaye

Copyright © Akhtar Muslimi | Year Posted 2015


Book: Shattered Sighs