Get Your Premium Membership

Jabeen Apni Kahin Kham Ho Na Jaye

Jabeen apni kahin kham ho na jaye Mizaj-e-husn barham ho na jaye Bhuja to di meri sham-e-tamanna Chirag-e-zeest madham ho na jaye Suna to du tumhe afsaana-e-gam Tumhari aankh purnam ho na jaye Na dekho yun mohabbat ki nazar se Yeh amrit hi mujhe sam ho na jaye Zamana ke talawwun ko to samjho Musarrat hi kahin gam ho na jaye Hai taamer-e-hayat Akhtar isi se Yeh dard-e-dil kahin kam ho na jaye

Copyright © | Year Posted 2015




Post Comments

Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem.

Please Login to post a comment

A comment has not been posted for this poem. Encourage a poet by being the first to comment.


Book: Shattered Sighs