Get Your Premium Membership

Our Society


"Our Society"
Na to hamain ghatya kam pay sharm ati hai na hi ghatya kam kartay hovay pakray janay pay. Ham rangay hathon pakray janay kay bavajod dhitai say jhot bolnay ko fankari kehtay hain. Ham gair qanoni harkaton ko bura nahi samajhtay balky pakray janay ka bura maantay hain. Qanon ki ankhon me dhol jhonknay valay ko ham ustad maantay hain. Apnay khilaf wazih saboton ko jhutlanay vala hamaray masharay mein chalak samjha jata hai. Hamaray han dhemay lehjay me bat karna darog goi aur chekna chilana sachai tasawar hoti hai. Hamari society mein apni galti ko tasleem karnay vala pagal aur munkir smart kehlata hai. Akhlaqiyaat moralities aur ethics yahan sirf kitabi batain hain. Hamari masharay mein jhot makari aur charb zabani aam baat hai. Qasam kha kay yahan jhot ko sachai ka rang daynay ki kohshish ki jati hai. Note."Exposing is not blackmailing."


Comments

Please Login to post a comment

A comment has not been posted for this short story. Encourage a writer by being the first to comment.


Book: Reflection on the Important Things