Get Your Premium Membership

Read Poems by Rajni Bala

Rajni Bala Avatar  Send Soup Mail  Block poet from commenting on your poetry

Below are poems written by poet Rajni Bala. Click the Next or Previous links below the poem to navigate between poems. Remember, Poetrysoup is an environment of encouragement and growth. Thank you.

List of ALL Rajni Bala poems

Best Rajni Bala Poems

+ Follow Poet

The poem(s) are below...



NextLast

Kachi Umer

kachi umer mein jajbaat the 
kachi umer mein umeed 
kachi umer mein khaab the 
kachi umer mein dil khush rehta tha 
kachi umer mein chehra hasta 
kachi umer mein dunian khoobsurat thi 
kachi umer mein josh 
kachi umer mein zindagi zindagi lagti thi 
kachi umer mein rishte khoobsurat 
kachi umer mein sari dunia apni lgti thi 
kachi umer mein rossein the
 kachi umer pe pyar 
kachi umer mein ishq ho gyea 
kachi umer mein ishq ki pyas thi 
kachi umer mein ishq mein har sans thi 
kachi umer mein chaand chaand ni mehboob ka chehra tha 
kachi umer mein sapno jaisi dunia thi bekhabar haqikat se pare..  .dunian dari se na kabi dare....
kachi umer mein dost dosty ka ehsas dete the 
jaise hi umer dalne lgi jajbaat kya hai har dhadkan samjhne lgi 
jaise hi umer pakne lgi har sans main ni aaugi kehne lgi 
jaise hi umer sal gujar gai harpal har ehsas zindagi haar gai 
jaise hi din raat chhut te gaye har jajbaat dhere dhere tut te gaye 
jaise hi raatein kat ti gai.....har pyar ki ghadi nafrat mein batt ti gai...
jaise log naye milte gaye har rishte alvidah kehte gaye.
jaise hi ishq mein padte gaye..dard se gujarte gaye 
jaise hi ishq mein gujarte gaye.ankh se aashoon behte gaye 
jaise hi pyar ke chehre dikhte gaye ishq ke jajbaat sare mit  te gaye 
jaise hi hum badte gaye waise khudki awaj sun na chhodte gaye 
jaise hi dard badte gaye hum dunian se alag hote gaye 
khudko bhoolte gaye jajbaat mitate gaye 
jhutha mutha hsate gaye 
khali khali ho gai zindagi eskadar din raat gujarte gaye 
dard se badta gyea sine mein dil 
dardse badti gai jine mein tadap 
kash abh sochte hai hum ishq na kerte 
hum mohabbat na kerte 
na tutte itna na ehsas chut te itna 
kash jee sakte auroo ki tarah 
kash jee sakte dil se 
har ehsas se 
har jajbaat se 
har khaab se 
har umeed se 
har arjoo se 
har khushi se

Copyright © Rajni Bala | Year Posted 2017

NextLast

Post Comments

Please Login to post a comment




A comment has not been posted for this poem. Be the first to comment.



Back


Book: Reflection on the Important Things